ik aag thi kay jaltay

ik aag thi kay jaltay
ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!
  

Jun, 05 2010     94 chars (1 sms)     2649 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…
wwmeri pahchan ka ek shaks isi shehar may hai…
may bhi zinda hon zara uss ko bata day koi…
kuch to tanhai ka ahsas mujah kum ho ga…
meray saye se ager mujko mila day koi..
meray khaboon ka her ek naksh mita day koi…
sokhay patto ka bacha dar jala day koi…..
Kaash hum samajh
letey..
Manzilon ki chahat
mein..
Raasta Badalney
sey..

Faasla Nahi Ghat''ta..

Do Ghari ki qurbat
mein..
Char pal ki chahat
mein..
Log Log rehtey hein..
Qafila nahi banta..


Hath mein diya ley kar..
Hont pe Dua''a ley kar..
Manzilon ki janib ko..
Chal bhi dein to kia ho ga?
Khawahishon ke jungle mein,
itni bheer hoti hai..


Keh umar ki musafat mein,
Raasta nahi milta,,
Qafila nahi milta,,
Hamsafer nahi milta,,

Shayad Kuch Bhi Nahi Milta....
Apne Halaat Ka B Ehsas Nahi Hai Mujh Ko "Faraz"

Mei ne Oaron Se Suna Hai K Preshan Hun Mein...
Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae Moasam Ki Adaon Mein...

Kisi Ka Yun Badel Jana Bohat Hi Yaad Aata Hae....!
Lambe safar mein
Aashiyana ho tum,
Akele raaston ka
Yaraana ho tum,
Sochte hain Tum bin
Zindagi kaisi hoti,
Kyunki hamari har
Khushi ka Bahana ho TUM...
Duryo Ki Parwa Na Kijiye
Jab Dil Chahe Bula Lijye
Hum Zada Dur Nahi Ap Sy
Bus Ankhon Ko Palko Se Mila Lijye
gam tu is ka hai k wo ahad e wafa toot gaya...

bewafa koi bhi ho,tum na sahi,hum na sahi...
sonu

ub kua kya jae

tere baad

meri zindagi bhi

mujh se alahdgi chahti hai.
Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
kua mile ga tujhe bikhrey huye khuwabon k siwa.
rait pe chand ki tasveer banane walay.
maikaday band huye,dhund raha hun tujhko.
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaney walay..
mar gaye hum to ye qutbay pe likha jaye ga.
so gaye aap zamanay ko jaganey walay.
dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai"qateel".
janey kis dais gaya saath nibhanay walay.
Musam jitne rothey ty sub lot aye
usay kaho ik umer hoi hai ab lot aye
main ne to us ko itni mohlat di ti sagar
k jub woh tanha reh jaye tb lot aye
Arman mere reza reza ho gaye hain,
Yun dil k aangan se giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht me koi kya bujhae ga,
Dil is tarah se aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarah ulfat me zakhm khaya hai kisi ne,
Sangdil tha jo aaj wo b ro para,
Usko b tarpaya hai kisi ne.../