Bherkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehraa Meraa Chehraa Hay Samundar Teri Aankhain
Phir Kon Bhalaa Daad-E-Tabassum Inhain De Gaa
Royengi Bohat Mujhse Bicher Ker Teri Aankhain
Barish aur main,
dono ek jaisay hain, rote hain,
tadapte hain,
sisakte hain, machalte hain,
bond bond dard ka!
khamoshi se apni ragoon main utar lete hain,
aur phr muskura kar chupke se..
chup ki chaddar odh lete hain..
haan sahyad,
BARISH aur MAIN dono ek hi jaisay hain!
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Ye Kon Aansoun ki Saza De Giya Mujhe
Jeeny Ki Jate Jate Dua De gia Mujhe
Aankhon Mein Mere Kab Se Hai Tofan Rakha Hua
Khul K Na Berse Aesi Ghata De Gia Mujhe
Mazi K Roz-O-Shab Ko Bhoolon To Kis Tarah
Khushion ka Karb-Naak Sila De Gia Mujhe
Maqooz Ho Chuka Tha Mera Piyar
Kuch Soch Ker Hee Dard-E-Wafa De Gia Mujhe