Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.
bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud naseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud guman shahron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhny dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dalain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dalain
raston ki marzi hay
Mein Ne Aazad Kia APni Wafaon Se Tujhe
Bewafai Ki Saza Mujhko Suna Di Jaye
Mein Ne Mangi Thi Ujale Ki Faqt Aik Kiran
Tumse Ye Kis Ne Kaha Aag Laga Di Jaye