Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee
Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha
Usay tu youn bhi hamein chor jana tha
Hum us k aik ghar ko apna samajhty rahay laikin
Us ka tu har morr par aashiyana tha
Yeh us ka qasoor nahi wo majboor tha shayad
K uski fitrat mein hee dil dukhana tha
Mujh ko talab thii faqat uski chahat ki
Aur uski tu chahat hee sara zamana tha
zindagi ka safar maine jaana abhi
poora ho sakta yeh tere bina nahi
teri yaadein satayee,
din raat humko jalayee
pyaar ki shamma mere gulistaan mai jal sakti nai
guzra hua pal laut ke aasakta nai
tumko kho diya waapis paa sakta nai
kaise bhulaao wo manzar
kaanto bhara wo bistar
sukooon se koi raat mai so sakta nai
dil ko to mere aisa lagne laga abhi
kab se thay tanha, tha tumhara nishaan kahi nahi
bikhri huee daastan
is aasman talay hum zinda
kis dar pe jayee hum, milta kahee koi saaya nahi
Ek jurm hay mohabbat
Jo main ne kya hay
Ek ghalti hay mohabbat
Jo mujh se hooi hay
Ek dard hay mohabbat
Jo mujhay hooa hay
Ek ehsaas hay mohabbat
Jo main ne mehsoos kia hay
Ek jazba hay mohabbat
Jo meray andar hay
Ek bhool hay mohabbat
Jo main ne ki hay
Ek phool hay mohabbat
Jo main ne khilaya hay
Aur iss ki khushboo main
Charon taraf bakhair doon ga...!!!