Meri zindagi ki zarurat

Meri zindagi ki zarurat
Meri zindagi ki zarurat ho tum.chaha hai dil ney jisko wo chahat ho tum.Manga hai dil ney jisko wo khawahish ho tum.Mehkaya hai jis ney zindagi ko.wo khushboo ho tum.ankhon main jo basa hai wo haseen khawab ho tum.Dil main dharakney wali wo dharkan ho tum.Mera dil bhi ho tum, meri jaan bhi ho tum, mera pyar bhi ho tum.
  

Jun, 05 2010     320 chars (2 sms)     14088 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Meri zindagi mein bus ik kitaab hai

Ik khawab hai or tum ho

Yeh jo kitaab-o-khawab k darmiyan manzilein hain

Mein chahti hun tumhare sath basar kerun

Yehi kul asasa-e-zindagi

Isi ko zaad-e-safar kerun

Mere dil k jaada-e-khush khabar pe

Bajuz tumhare

Kabhi kisi ka guzer na ho

Magar is tarah k

Tumhein bhi is ki khabar na ho...!!!
Nazarun se agar dur gaya hai tu kia hua
Dharkan ki tarha dil k paas buhat hai.../


Wo jo karta tha rat ki tariki mein mujse baat
Ussay meri tanhai ka ahsas buhat hai.../
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../
tum kis wafa ki baat karte ho yahan per sagar

ye log tu jaan le ker bhi dil nikal laya karte hain.
meri awargi mein kuch dakhal hay tumhara bhi mohsin,

tumhari yaad aati hay to acha nahin lagta.
ya sang dilon hai,yahan sunta nahi faryad koi...

yahan hansta hai tab koi,jab hota hai barbad koi...
wo mehsus kry humen apni hr dharkan k sath.........

is k siwa hm ny kbi kuch chaha hi nhi..
aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
yeh to hai apnaa apnaa hausla apnii apnii u’Daan hai
koi u’D ke rah gayaa baam tak,koi kahkashaa’n se guzar gaya
bebassi se uski aankhon main bi aansoo aa gaye.

jab mujhe wo judai ka mashwara dainay laga.
Kaha Usne Bharosa Dil Pe Itna Nahi Karte

Kaha Maine Mohabbat Main Kabhi Socha Nahi Krte

Kaha Usne Bohat Khush-Rung Dunia k Nazare Hain

Kaha Maine Jab Tum Ho Tou Hum Kuch Dekha Nahi Karte

Kaha Usne Main Tum Se Duur Hoon Lekin Tumhari Hoon

Kaha Maine k Sapne Dil Ko Behlaya Nahi Karte

Kaha Usne Tumhari Chahat Tumhain Ruswaiya''n Degi

Kaha Maine Shohrat Se Ghabraya Nahi Karte

Kaha Usne Samaj Jao, Samajh Jao Ae Maire Dost

Kaha Maine K Deewane Ko Samjhaya Nahi Karte
ye dsrd key tukry hen,ashaar nahi saghar.

ham kaanch k dhagy me zakhmon ko paroty hen.