jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hain agar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai hai wohi khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatir agar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do