hum ko gali mein dekh

hum ko gali mein dekh
hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
  

Jun, 05 2010     163 chars (2 sms)     3197 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
Ek Tabassum Hazar
Shikwo''n Ka

Kitna Pyara Jawab
Hota Hy ... !!!
Choti Si Dosti,

Anjaani Mulakaatein;

Pal Bhar Mein Khatam Hote Din,

Khayalon Mein Doobi Lambi Raatein;

Yahin Se Shuru Hota Hai Pyaar, Hai Na..??
Tum Meri Yad Me Sulgo To "Bura" Lgta Hai.

Tum Meray Didar Ko Tarso To "Bura" Lgta Hai.

Ik Tamanna Hai Faqat Mujh Pe Mehrban Reho.

Tum Kisi Or Ko Dekho To "Bura" Lgta Hai.
Jis pal aap dil se muskuraoge,

Apni hasi mein hamari jhalak paoge.

Na samajna ke saath chhod diya hamne,

Palat kar dekhoge to har raah par hame paoge.
tere sath chalna meri zindagi hai,
tere pyaar mein jalna meri zindagi hai ,
khushi ki koi ghaddi, ho ya gam ka koi pehlu,
tujhe he yaad karte rehna meri zindagi hai ,
tera naam marte dum tak meri zuban per rahe ga ,
tera he naam lete rehna meri zindagi hai,
teri muskrahat ne mujhe jeena sikha diya,
teri muskrahat hi to meri zindagi hai...........
Phi Se Toote hue paton ka Sahara le kr,

wehshat-E-Dil kisi jugnu se udhara le kr,

Dasht-E-dunia me umidon ka kinara le kr,

main Tujhe Yaad kron ek Umer Doobara le kr.
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!
Phir nazar se pila dijiye
Hosh mere uda dijiye
Chodiye dushmani ki ranjish
Ab zara muskura dijiye
Baat afsana ban jayegi
Is kadar mat hawa dijiye
Aaiye khul ke miliye gale
Sab takalluf hata dijiye
Na Maango Har Baat Per
Wazahatei''n Ae Dil-e-Nadan


Mohabbato''n Mein Kuch
Sawalo''n k Jawab Nahi Hoty
muhabbat khud batatee hai kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
Us ki Bataein rothi rothi
Jis ka Lehja metha metha hei

Us ki Ankh samundar jaisi
jis ki Zaat mei sehra hai

Raat say Gehri soche us ki
Jis ka Rang Sunhera hai

Phool or Kaliyan Chunney wala
khud kion Bikhra Bikhra hai

Chand se Baatein karnay wala
Dekho kitna TANHA hai......