Mohabbat seekh ker

Mohabbat seekh ker
Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai.
Girebaan taar hota hai.
Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai.
Mohabbat seekh ker kerna..
K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai
Dukhon ke raj-dhani hi
Jo kal ban jaay ga baadal
ye dariya ka wo pani hai.
Mohabbat seekh ker kerna...
K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri
Sharab-a-zindgi thehri
Na ho takmil jis ki wo
Kitab-a-zindgi thehri.
ISI KHATIR TO KAHTA HOON KISI USTAD-A-KAMIL SE
MOHABBAT SEEKH KER KERNA
  

Jun, 05 2010     520 chars (4 sms)     2426 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mujhe Tasleem hai tum ne Muhabbat mujh se ki ho gi,
Zamane ne magar Izhar ki Mohlat na di ho gi,
Mein apne aap ko sulgha raha hon isi tawaqu par,
Kabhi to AAG bharke gi
Kabhi to ROSHNI ho gi.....!
hr bar muqaddar ko dosh deina achi baat nhi"dost''

kbhi kbhi hum b hadd sy zayada maang laity hain.
"Ab to bus jaan he daine ki baari hai jANA,

Mein kahan tak sabit karoon k wafa hai mujh main
kabhi utro yun mera dil k kachay angan main...

kisis udas musam main,kisi veran lamhay main

chupkey se.dabey payon,meri ankhon par rakh do hath apne,

aur hansat howa keh do

bojh lo tu "HUM" tumhare
na booojho tu "TUM" humare
Agar Hum Kahain Aur Wo Muskura Dein
Hum Un K Liye Zndagi Luta Dein

Har Ek Mor Par Hum Ghamon Ko Saza Dein
Chalo Zindagi Ko Mohabbat Bana Dein

Agar Khud Ko Bhoole Tou Kuch Bhi Na Bhoolay
K Chahat Main Un Ki KHUDA Ko Bhula Dein

Kabhi Gham Ki Aandhi Jinhain Choo Na Paye
Wafao’n K Hum Wo Nasheman Bana Dein

Qayamat K Deewane Kehte Hain Hum Se
Chalo Un Chehre Se Parda Hata Dein

Saza Dein Sila Dein Bana Dein Mita Dein
Magar Wo Koi Faisla Suna Dein
Ishq ki log ye aksar hi saza dete hain,
Chahane walon ko apne wo bhula dete hain,
Husn paband wafa ka nahi hota hai Amad,
Apne hi jeson ko wo dil main jaga dete hain.
Door hi sahi,
kinara to hai,

timtimata hi sahi,
sitara to hai..

Hojati hai tumhari yaad se hi tasalli…
tinka hi sahi.. Sahara to hai..
tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. .........
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk ankhoun main bhi selaab hotay hain...
aisay he nahi roz falak daikhta tujh ko
chehra hai tera chand, sitaray teri ankhain
Teri zaat se sabhi rashte nate tor daye hai miane.

saal guzer gaya teri yad ka ek rishta baqi hai muj mia.
Betab Tamano Ki Kasak rehne Do
manzil ko Pane Ki Tarap Rehne Do
Ap Bhaly Raho Nazro Se Dor
Per Meri Bend Aankhoo Mein Apni AIk Jhalk Rehne Do