Diyaar-e-Noor Mein Meri Shaboun Ka Saathi Ho
Koi To Ho Jo Meri Wehshatoun Ka Saathi Ho
Main Oos Se Jhoot Bhee Bouloo''n To Mujh Se Sach Bolay
Meray Mizaaj K Saray Mousmou''n Ka Saathi Ho
Main Oos K Haath Na Aaoon Woh Mera Ho K Rahay
Main Gir Paroon To Meri Pastiyoun Ka Saathi Ho
Woh Meray Naam Se Motabar Thehray
Gali Gali Mein Meri Ruswayoun Ka Saathi Ho
Karay Kalaam Mujh Se To Meray Lehjay Mein
Main Chup Rahoon To Meray Tewroun Ka Sathi Ho
Woh Khawb Dekhy To Dekhay Meray Hawaalay Se
Meray Kheyal K Sab Manzroun Ka Saathi Ho...
RaaStOn Kii Marzii hAi
Be-Zameen lOgon Ko
Be-Qarar AankhOn Ko
Bad-NaSeeb QadmOn Ko
Jis Traf Bhi Ley jAien
RaaStOn Kii Marzii hAi
Be-NiShaan JaZeerOn Pey
Bad-gUmaan ShaarOn Mein
Be-Zubaan mUSafir Ko
Jis Traf Bhi Bhatka dien
RaaStOn Kii Marzii hAi
ROk Lien Ya Barhney Dien
Thaam Lien Ya Girney Dien
Vasl Kii LaKeerOn Ko
tOr Dien Ya Milney Dien
RaaStOn Kii Marzi hAi
AjnAbii Ko Ley Kar
hUmSaffar Bana Daalien
Saath Chalney WalOn Kii
Raakh Bhii Ura Daalien
Ya mUSaafatin Saarii
Khaak Mein Milla Daalien
RaaStOn Kii Marzii hAi ...!!!
December
Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa
Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain
Suno...!!!
Naye saal ki muskuraati hui subha
Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai
Muskuraata nahi
December mujhey raas aata nahi..!!
Dekhoo Muhabat Karoo Tu Itni Karoo K Koi Had Na Rahay
Intezar Karoo Tu Itna Karoo K Koi Waqt Na Rahay
Bharoosa Karoo Tu Itna Karoo K Koi Shak Na Rahay
Nafrat Karoo Tu Itni Karoo K Phir Muhabat Na Rahay
Us Khuda ka shukar ha
Qaid-e-Adem se khalasi di
Or....... Mere Wajood ko zahir kiya
Or....... Mujh ko Hadayat ki
Or
Apni zaat ka Irfan mere Dil mein Naseeb kiya
Yahan tak...........
Ke mein ne Us ko Pehchan lia
Or Dekh Liya......!!