Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main kamal tha..
Teri yaad bhi ek beeta hua kal hai,
Jise bhula na paun aisa wo pal hai,
Kabhi mere dil ki gehraiyo se guzar kar to dekh,
Mere wajood se juda tera har pal hai.
jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen