Kisi say besabab uljha nahi tha
Who pehlay tu kabhi aisa nahi tha
Who phir bhi yad rehna chahta tha
Agarchay mein usay bhoola nahi tha
Bohat aala tha uska zarf lekin who meri zat ko samjha nahi tha
Who jaisay berukhi say chal para tha
Mein itna bhi gaya guzra nahi tha
Usay mein kyou bura thehraon yaroo
Who acha tha faqt mera nahi tha
Soo baar Chaman Mehka
Soo Baar Bahar Aye
Duniya Ki Wohi Ronaq
Dil Ki Wohi Tanhai
Yeh Raat Ki Khamoshi
Yeh Alam-E-Tanhai
Phir Dard Utha Dil Mein
Phir Yaad Teri Aaye
Iss Alam-E-Veran Mein
Kia Anjuman Aarai
Do Roz Ki Mehfil hai
Ek Umer Ki Tanhai
Her Dard-E-Mohabbat Se
Uljhi Hai Gham-E-hasti
Kia Kia Hamain Yaad Aya
Jab Teri Yaad Aye
Main Lafzon main kuch asar nahin kerta.Iss ka matlab yeh nahin key main tujhey pyar nahin kerta.Chahta hon main tujhey aaj bhi.Mager teri soch main apna waqt bekaar nahin kerta.Tamasha na ban jaey kahin mohobat meri.Iss liey apney dard ko namoodar nahin kerta.jo kuch mila hai usi main khush hon.Main tere liey Khuda say takraar nahin kerta.Par kuch to baat hai teri aankhon main.Werna main tujhey chahney ki khata baar baar nahin kerta.