kabhi dard to kabh

kabhi dard to kabh
kabhi dard to kabhi dua di hai,
dil ka chain aur aankhon ki neend uda di hai;
ye teri yaade hai ya mere dard ki inteha,
palkon ki katro pe nami saja di hai.
  

Jun, 05 2010     159 chars (1 sms)     2994 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages


Dil Ab Tak ...

Wasl k Un Lamho''n

k Asar Main Hy ...

Main Jab Sy

Tum Se Mil k Aaya Hoon

Mera Sab Kuch Safar Main Hy !!!
Guzri hoi Zindagi ko kabhi Yaad na ker* Taqdeer mai jo likha hai uski Fariyaad na ker* Jo hona hai wo ho ker rahega* Tuu Fikar mai apni hansi barbaad na ker
Kafan na Pehnao mujhe abhi Muskuraana baaki hai,

Janaaza na uthao mere kisi ki aana baaki hai,

Ke Nazar pher lo Farishto abhi mujse,

Abhi to uska hum se Nazar milaana baaki hai.
Dil Hai Nakam Iss Liye Chup hon
Dard hee Dard Hai Subha Sham Iss Liye Chup hoon
Keh To Doon Zamane Se Dastan Apne Dil Ki
Per Uss Mein AYe Ga Tera Naam Iss Liye Chup Hoon
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
Woh Shaks Ab Yaad Aa Raha Hai Mujh Ko
Jo Khud Ko Pamistry Ka Maahir Batata Thaa
Phir Ussi Ne Ek Din Meri Hatheli Ki
Aarhi Tirchee Lakeerain Dekhee Theen
Us Ka Jumla Hai Yaad Ab Tak
Ke Teri Fitrat Mein Hi Wafa Hai
Wafa Ki Khaatir Tu Jaan Degi
Magar Mein Yeh Bhi Jaanta Hon
Teri Wafa Ko Shikast Hogi…
Wo Bachpanay Ki Neend To Ab Khwaab Ho Gai...


Kya Omar Thi K Raat Hoi Aur So Gaye... O_O
Suno!

Tum Muje Aisay
Tang Na Kiya Karo

Kyu K

Jab Tum Nahi Hotay

To Mai Bahut Tang Hota Hoon... /
Ik raat khuwab mein mein nay
Chand say poocha chupkay se
Aaj mujhay ek baat batao
Apnay dil ka haal sunao
Kya hai koi aisa
Jo tumko acha lagta ho
Dil k pas jo basta ho
Chand ne tera naam lia
Mein ne dil ko thaam lia
Jab se dekha hai yeh sapna
Tab say chand raqeeb hai apna
KiTnaY MUkhTalif HaiN ZaManAy say Hamaray KHayalaat





Loog ZiNdagii PeH Fidaa HaiN AUr haM ZInDaGii say KHafaa ...
log mujhe kehte hain
ki tum kyu apne pyaar ka izhaar nhi karte??????

maine kaha jo 3lafzo main bayaan ho jaae
sirf itna hum unse
PYAAR Nhi karte
Mohabbat
K Sapney
Dekhata Boht Hy,

Wo Raaton
Ko Mujh Ko
Jagata Bhi Boht Hy,

Me Aankhon
Me KajaL
Lagaon Tu Kese?

In Aankhon
Ko ZaLim RuLata Bhi Tu Boht Hai...