Pal Pal Dhadkane

Pal Pal Dhadkane
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti Aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?
  

Jun, 07 2010     167 chars (2 sms)     3038 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kehney Waalo''n Ka Kuch Nahi Jaata,

Sehney Waaley Kamal Kartey Hain

Dardo''n K Jawab Kon Dhoondhey,

Log Tou Bass Sawal Kartey Hain...
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........
" Dekh kr aaienay mein aks apna,

Uski hairaniyaa''n nahin jati''n."
ek nazar daikh mere zarf-e-muhabat ki taraf,

hum ne dil de k khareeda gham-e-tanhai ko...
Hum aksar ye samajhtay hain
Jisay hum pyar kertay hain
Usay hum bhool bathay hain
Mager aisa nahi hota
mohabbat daimi such hay
mohabbat tehar jati hay
Hamari baat k ander
Mohabbat baith jati hay
Hamari zaat k ander
Mager ye kam nahi hoti
Kisi bhi dukh ki surat mein
Kabhi koi zaroorat mein
Kabhi anjaan se gham mein
Kabhi lehjay ki thandak mein
Udaasi ki zaroorat mein
Kabhi barish ki surat mein
Hamari aankh k ander
Kabhi ab-e-rawan ban ker
Kabhi qatray ki surat mein
Bazahir aisa lagta hay
usse hum bhool baithay hain
magar aisa nahi hota
magar aisa nahi hota
ye hargiz kam nahi hoti...
wo rat ka be nwa musafir wo tera shair wo tera"nasir"

teri gali tk tu hum ne dekha phir na jane kadhar gia wo..
thaka huwa hai wajood saara ye manta hon "mohsin"

magar khayalon se koi jaye to neend aaye...
Kisi na kisi roz mulakaat hogi tujhse,
Pyaar bhari chahat ki baatein hogi tujhse,
Tere tasweer ko dekhkar gujaara kar lete he hum,
Parr na jaane kab mulaakat hogi tujhse,
Intazaar mujhe uss din ka hai,
Jab tu mere saath hogi.
Apni zindgi se kuch pal de do mujhe!

Aaj na sahi apna kal de do mujhe!

Khushi do ya na do marzi tumhari!

Magar apni kisi achi se dost ka cell no de do mujhy
Main bus ek bar la''jawab hua Faraz...!

Kisi apne ne kaha jab kon ho tum?
betaab sy rehte hain teri yaad
me aksr
shab bhar nhi soty teri yaad
me aksr
jisam me dard ka bahana sa bana
k
hum toot k roty hain teri yaad
me aksr.