Na puch mere sabar

Na puch mere sabar
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hy
  

Jun, 07 2010     172 chars (2 sms)     9158 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

haath kaaNTon se kar liye zaKhmii
phuul baalon mein ik sajaane ko

aas kii baat ho ki saaNs ''Ada''
ye Khilaune hain TuuT jaane ko
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
Tabdeeli Jab Bhi Aati Hae Moasam Ki Adaon Mein...

Kisi Ka Yun Badel Jana Bohat Hi Yaad Aata Hae....!
Bohat Mudat K Baad Kal Jab
Kitaab-E-Maazi Ko Main Ne Khoola
Bohat Say Chahrey Nazar Main Utrey
Bohat Say Naamoon Pai Dil Paseeja
Aik Aisa Safha Bhi Us Main Aaya
Likha Howa Tha Jo Aansooun Say
Jis Ka Unwan “Hamsafar” Tha
Wo Safha Sab Say Hi Moutabar Tha
Aik Aur Aansoo Phir Us Pai Tapka
Phir Us Se Aagey Main Parh Na Paya
Kitab-E-Mazi Ko Band Kar Ke
Usi Ki Yadon Mein Kho Gaya Main
Inhe Khyaalon Mein So Gaya Main
Agar Wo Milti To Kaisa Hota
Agar Wo Milti To Achha Hota
Tu Ne Wafa Ki Khaas Koi Guftugu Na Ki

Aur Maine Bhi Dil Ki Baat Tere Rubaroo Na Ki

Tu Bhi Tamam Umar Dhoondta Raha Mujhe

Maine Bhi Tere Baad Koi Justuju Na Ki
main jo bikhroon to sath na rukna warna,,,,

ungliyan dard karen gi mujhey chuntey chuntey
KiTnaY MUkhTalif HaiN ZaManAy say Hamaray KHayalaat





Loog ZiNdagii PeH Fidaa HaiN AUr haM ZInDaGii say KHafaa ...
Tere judaai ka dard kya hota hai, agar jaante hum,
Tujhse judaa hone se pehle, apne dhadkan ko khud se juda karte hum.
kabhi lafz bhool jaon,
kabhi baat bhool jaon
tujhey is qadar chahon
apni zaat bhool jaon
uth ker kabhi,jo terey pass chal dun
toh jate huwe khud ko
terey pass bhool jaon.../
Kitna makhmuur bulawa hai Teri Aankhon main

Main agar raah se bhatkha hoon to mujrim tum ho
Raat Ka Aakhri Pehar Tha...!

MuJh Se Chaand Ne Kaha''

Humnasheen Alvida''

MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai''

Kal Milain Ge isi Jagah''

Men Sun Kar Muskura Diya''

Us Ko Batla Diya''

Jaanay walay Lout''tay Nhi''

Tum Nhi aao Ge''

MuJhe Hai Yaqeen''

Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya''

Aur Kehnay Laga''

Tum Se Wada Karoon''

Phir Poora Na Kroon''

Aisa Mumkin Nhi''

Sun Aey HumnasheeN''

Men CHAAND Hoon Insaan Nhi.
Hum nay socha k Duniya Say kinara Ker lain.
Hum nay dekha k Hum hi ronaq-e-mehfil nikly.