yeh mumkin hai hamaray

yeh mumkin hai hamaray

yeh mumkin hai hamaray darmiankoi
ghalat fehmi bhi na rehti
jo apnay dil mein choti si
khalish hai khatm hojati
bata deta k mujh ko aaj bhi uski zarorat hai
jo is jevan ka hasil hai to bus uski mohabat hai
bata deta k logon ki sabhi baaten fasanay hain
sabhi qisay puranay hain
main keh deta k zara si baat pay yun rothna acha nahi hota
mohabat karnay walon mein
ghalat fehmi to ho sakti hai par jhagra nahi hota
main har ik baat keh deta
khalish bhi dur hojati
main uska hath thamay yunhi uska hum qadam rehta
woh agay hath to karta
wo mujh say baat to karta
  

Jun, 07 2010     577 chars (4 sms)     3119 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Phool Apni Khaslat Pay Baybus hain kitnay''m0hsiN''

Toornay walay ko Bhi khushbo ki Saza daitay haiN.
nadan hai kitna wo,kuch samjhta hi nahi,

seene se laga k pouchta hai,k dharkan taiz kyun hai....
nahin aata fizaon se pehle humen daman bacha lena...

tumhin par jan dy den ge kisi din azma lena..
kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do

sab baatein dil ki keh dein ager
phir baqi kya reh jaye ga.......
sab baatein dil ki sun lein ager
phir suny ko kya reh jye ga

kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do
Judaai, Ratt-jaga Aur Karb-e-Musalsal

Chalo Tum Ne Mujhy Kuch Tou Dia Hy ...
"Pehle Nazar Main"
Hai Na Hayrat Ke Baat!
Kay Kese Ko Dil Danay Ka
Itna Bara.....
Orr AAham Faisla
Amoman.....
Pal Bhar Main Ho Jata Hai
KitnAy GhAroor mAi hAi Wo MujhE TAnhA ChOr k "HumAyuN" , ,

UnhEin MALoom nAh¡ MerAy Aansu MujhE TAnhA honAy nAhi detAy . .
Yeh Sach Hai K Mera Qatil B Wohi Tha ,

Sare Shehar Me Tarif K Qabil B Wohi Tha

Kehta Tha k Apna Hon , Apnon Me Rahhon Ga ,

Bni Jo Saf-e-Ghair To Sabse Aage Bhi WOhi Tha
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
Mere Jism Se Uski Khushbu
Aaj Bhi Aati Hy "Mohsin"

Main Ne Fursat Mein Kabhi
Dil Se Lagaya Tha Usay
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Chahat Wo Nahi Jo Jaan Deti Hai
Chahat Wo Nahi Jo Muskaan Deti Hai

Ae Dost Chahat Wo Hai
Jo Pani Mein Gira Aansoo Pehchan Leti Hein