Reh na paoge kabhi

Reh na paoge kabhi
-Reh na paoge kabhi bhulaker dekho,

yaqin na aata ho to aazmakar dekho..

Har jagah mehsoos hogi hamari kami,

apni suni mehfilon ko kitna b saja kar daikho.......
  

Jun, 07 2010     171 chars (2 sms)     2839 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main khud ko DhoondtA RehtA Hoon Ab AndhAiry mAin''faraz''

Wo Ley Gaya Mera Saaya Bhi Saath Jaaty huye
kitna saroor rat ki tanhayon me tha,

chup tha jaisay chand b ruswaion me tha,,

sub ja rahay thay apnay apnay khuda ko poojnay,,

tab me khayal-e-yaar ki gahrayoon me tha.
Jalti bhujti dhoop me sard hawa me rehna seekh lia,
Us se bichar k hijr ka ik ik mosam sehna seekh lia

Sahil sahil takra k jab choor hue to hum ne b,
Darya ki lehron me lehrain ban kar behna seekh lia

Apna dukh bas apna hi dukh hota hai ye jan lia,
Apni aap se apni sari batain kehna seekh lia

Nai nawaili tanhai ki bahain dal k bahon me,
Rat gaye tak nehr kinaray baithay rehna seekh lia...
kia khabar sath chor de yeh zindagi kahan.

saghi

hastay hoay zamanay main sub say mila karo.
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,

Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Mosam Ko Mosam Ki Baharon ne Lutta,

Kashti Ko Sahil K Kinaroo ne Lutta ,

Woh Tu ek Hi Qasam Se Dar Gaye ,

Humain tu Unki Qasam De kar Hazaroon Ne Lutta
dil mein bughaz rakhta hai aur badan pe ehraam,

ye chakkar tere muqaddar k hein tawaaf nahi...
Kosish bahut ki samjhane ki
ankhon ko, kasam di so jane ki, bahut samjhaya fir bhi ankhen nai soyi, soyi tab jab maine bat ki aap ke khwab me aane ki.
Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain
Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
na janay konsa jazba tha jis ne khud hi...
meri hi zaat ka dushman bana diya mujko...
Meethi neend Meethe khwaab,
Ho Gaya savera ab to jago janab.
Chand bhi chup gaya fir rat K intezar Me,
1 naya din shuru karo apni manzil ki talash Me.