Rafaqtoon k silsilay na

Rafaqtoon k silsilay na
Rafaqtoon k silsilay na toot jain kahin

.Kabhi kabhi milny ka silsila rakhna.

Maana k aor log be hain kareeb tumhary.

Magar meri zaat ko aoron say juda rakhna.
  

Jun, 07 2010     169 chars (2 sms)     2949 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Agar didaar ki talab ho,

to nazrein jamaaye rakh!

Parda ho ya nakaab ho,

sarkata zaroor hai!
koe pal ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay..

main''fanaa''baqaa''k sabhi safar usi aik pal mein guzaar doon.
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
Dil apne aap dharakta hai, dharkaya nahi jata
Ye raaz-E-mohabbat har ek ko bataya nahi jata

Agar ehsaas ho to, mohabat ko kar lo mehsoos
Ye wo jazba hai jo lafzon mein samjhaya nahi jata

Dosti k liye mohabat or khuloos hai lazim
Har haath milane walay ko dost samjha nahi jata

Bohat kam hain log jo dil mein utar jhate hain
Har rah chaltey ko apna banaya nahi jata

Koshish se badal jaati hai Taqdeerein
De kar ilzaam Qismat ko or dil ko behlaya nahi jata .
Tere pyar ne bahut kuch sikha diya,

Meri khamosh duniya ko jaise hasa diya,

Karzdar hu mein us khuda ki
Jisne mujhe tum jaise humsafar se mila diya.......;->
Wo mere masoom tabasum pay yunhi rashk nahi karta Ali

Usnay shayad mere Dil k Ghao ko dekh lea hoga...
Zindagi ki raah mein aage chalte jana har pal,

Mur ke na dekh beete hue pal
Jo nahin tha tera tujhe nahin mila,

Jo milgaya uske sath guzaar apna har pal
Kya hai DIL ki haalat bataana nahi aata,

kisi ko aise tadpana nahi aata.

sunna chahte hai 1 baar fir aawaz unki,

magar baat karne ka bahaana bhi nahi aata.
Karo na Fikar agar wo Naraz ho jaye
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.../
Rukhsaar ka Pata nahi, Aankhain to khub hain.......
Didaar abhi naqab se aagay brha nahi
Koi Na Mile To Kismat Se Gila Nhi Krte,

Aksr Log Mil Kr Bi Mila Nhi Krte.

Hr Shakh Pr Bahar Aati He Zarur,

Pr Hr Shaakh Pr Phool Khila Nhi Krte
Main jo mehka to meri shaakh jala di us ne




Sabz mosam main mujhey zard hawa Di us ne