Main Thak Gayi Hoon Jana''n
Kandho''n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino''n Ki Yaadai''n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana''n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto''n Se Bhar Chuke Hain
Kanto''n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo. . . !
Hum nay kisi ki yaad may rona he choor diya
Apni zindagi ko talash karna he choor diya
Sab beeti hui batain bhula dee hum nay
Ab dil may mazii bsana choor diya hum nay
Kantoon say bhar detay hain log daman
Hum nay anghan may naey phool khilana he choor diya
Kabhi na mangain gay bheek kisi k pyaar ki
Isi liye hum nay pyaar karna he choor diya..
"Na wajood apna, na rooh apni Bas ik tamasha yeh zeest thehri Na dil lagi main sakoon paya Na aashqi main qarar paya Na wasl lamhay hi raas aaye Na firaaq hi ghum guzaar paaye Ajab yeh chahat k marhalay hain Na jeet paaye na haar paaye Na hi yaadon ki dhund utri Na dil k daaman ko jhaar paaye Na aankhain khawabon ko dhoond paaien, Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
Mujhe kinary ki kab tamana,
Tujhay hai darya k par jana, Biphartay darya ki surkh maujen bata rahi hen, Khiraj mangay ga tujh say darya
Jo meri mano to aisa kar lo,
mujhay sharik-safar bana lo,
Khiraj mangay jo tujh se darya
Mujhay bhanwar mein utaar jana.
Tera zaroori hai par jana................
Laakh doori ho maghar ehad-e-wafa nibhati rehna,
Jub bhi Barish ho mera sog manati rehna,
Ek Muddat se aadat hoi hai ab to ,
Ap hi aansoo bahana Ap hi muskurate rehna