jala rha hun

jala rha hun
jala rha hun apnay lahu sy dil k chrag..!

na jany kitni mohabbat hy roshni sy mujhy..!
  

Jun, 07 2010     89 chars (1 sms)     2742 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kya Mila Tumhe Socho, Humko Azmaane Mein
Aag Lag Gayi Aakhir, Har Taraf Zamane Mein.
Tum To Chaar Din Mein Hi Apna Honsla Kho Bethe
Umar Beet Jati Hai, Ruthne-Manane Mein...
Tumne Sab Luta diye Ashq Meri Palko Ke,
Ik Zamaana Lagta Hai, Aainey Sajaane Mein.
Aaj hai Sabhi Masroof, Farak Sirf Itna Hai,
Koi Ghar Banane Mein, To Koi Ghar Jalane Mein.
Aaj Dil Hai Diwana, Uska Rukh Na Pehchana,
Saazishen Bhi Shamil Hain Jiske Muskurane Mein.
hazaaro ki duniya mein,
na koi gahreeb hota hai,
na koi amer hota hai,
jise sacha dost mil jaye,
to vohi khushnaseeb hota hai..
Pyaar aapka meri aankkhon mein chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka
Hichkiyan dila kr ye kesi uljhan mai dal rahe ho.
Ankhen bnd hain pher b nzr aa rahe ho..
km se km itna batado hmain...
yad kr rahe ho ya apni yad dila rahe ho..?
Sabko Khushi Dene Ki Aadat Hai Hame
Apni Alag Pehchan Bananay Ki Aadat Hai Hame
Kitna B Gehra Zakham De Koi
Utna Hee Zada Muskurane Ki Aadat hai Hame
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
Badalti Rutt Ki Wajah Se, Zra Bojhal Tabiyat Hay

Yun Mera Haal Mat Poocho, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Mumkin ho aap se to bhula dijiyey mujhay
Pathar pe hoon lakeer, mita dijiyey mujhay

Hur rooz mujh se taaza shikayat hai aap ko
Main kia hoon, aik baar bata dijiyey mujhay
Nazaron Se Nazaaron Ke Jaam Peeta Hoon,
Jab Aaye Mehfil Mein Tera Naam, Peeta Hoon.
Har Din Na Peeta Yahaan Main Yaaron,
Bas Jab-Jab Dhalti Ye Shaam,Peeta Hoon.
Saans Lene Ke Siwa Na Koi Kaam Mujhe,
Bas Jab-Jab Hota Koi Kaam,Peeta Hoon.
Tune Jo Humare Dil Se Ki Hai Itni Bewafai,
To Khud Se Uska Le-Le Inteqam,Peeta Hoon.
Lagataar Na Kabhi Peeta Hai Ghayal,
Har Do Lamha Kar Aaraam,Peeta Hoon.
Bina Tere Ab Kaise Jiyega Ye Ghayal,
So Apni Maut Ka Kar Intezaam, Peeta Hoon...
Ab chor chale hum es duniya ko--kabhi jo yaad aye mere tu mat rona

Mere maut ki khabar agar--Mil jaaye tujhay tu mat rona

Mere yaad tumhein sapna ban kar--Tumhein jo tarpaye tu mat rona

Ek khawab samajh kar boljana mujhay--Mere baad MERE LIYE MAT RONA....
Samandar peer ka andar hai lekin ro nahi sakta..
Yah ansoon pyar ka Moti hai is ko khoo nahi sakta..
Meri chahaat ko dulhan tu bana lena magar sun lay..
Jo mera hoo nahi paya wo tera hoo nahi sakta..