Chalo Ishq nahi, Chaahne ki Adat hai
Kya karein ke Hamein Dusre ki Adat hai
Tu apne Sheesha-Gari ka na kar Hunar Zyada
Main Aaina hoon, Mujhe Tootne ki Adat hai
Wisal mein bhi wohi Faasle Sharab ke hain
Ke Usko Neend, Mujh ko Rat-Jagne ki Adat hai
Tera Naseeb hai Ae Dil Sada ki Mehroomi
Na Wo Saki hai, na Tujhe Maangne ki Adat hai
Ye Khud Aa Jati kab tak
Tu bhi usse na kar Yaad, Jise Bhoolne ki Adat hai.
is tarah sataya hai pareshaan kiya hai goya k muhabbat nahi ehasaan kiya hai socha tha k tum dosaron jaise nahi hoge tum ne bhi wahi kam meri jan kiya hai mushkil tha bohut mere liye tark-e-taalluq ye kam bhi tum ne mera asaan kiya hai
My love for you is like water,
Falling countless…
The beating of my heart,
For you is so heavy and soundless,
The feeling of being in your arm is so
Precious and endless.
Beymaainay hotay hain woh lamhay jub tum paas nahi hotay
Lagtaa hai mujhay aisay ke zindagi tehr gayee ho jaisay
Aasman bhi beyrounuq sa lagtaa hai mujhay ke
Kisi nay chand taaron ki roshni chura lee ho jaisay
kabhi Lafz bhool jaon
Kabhi baat bhool jaon
Tujhe is qadar chahon
Apni zaat bhool jaon
uth ker jo kabhi tere
paas se chal doon to
jaate huwe khud ko
tere paas bhool jaon