Hassan ko Badshah khas o Aam kehte hain
Ali ka Naaib o Qaim Muqaam kehte hain
Daleel aik hi kafi hai unki Azmat may
unhe Hussain bhi apna Imam kehte hain
Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
Humse Kehte Hein K Biddat He Maatam Daari
Khud Tere Jism Se Aawaz E Bbuka Aati He
Dil Dharhakne K Tawaazun Pe Zara Ghor Kar
Tere Seene Se Bhi Maatam Ki Sada Aati He.
Ghafil tujhy gharyal ye deta hai mnadi gardoon nay ghari umer ki teri ek or gtadi jagna hai tu jaglay aflak k saya talay hashar tak soya rhy ga khak k saya talay.