Kisi ne kaha bachpan ek baar milta hai khoob khel kood karlo. Kahin se awaz aai jawani ek baar milti hy khoob enjoy karlo. Ksi ne kaha college life ek bar milti hy khoob masti karlo. Lakin kabhi kisi ne yeh kaha k ZINDAGI B 1 BAR MILTI HAI apny ALLAH ko Razi karlo
Leta tamaam kaam woh apy WALI se hai,
Nisbat har ek IMAM ko NOOR-e-JALI se hai,
kul ikhtiyaar se diye HASSAN O HUSSAIN ko,
Deta KHUDA zroor hai milta ALI se hai.
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
Wafa ko naaz hai jis par usay Abbas(AS) kehte hein
Lagay jo Saani-e-Haider(AS) usay Abbas(AS) kehte hein
Alam patthar pe jo gaaray usay kehte hein sab Haider(AS)
Alam gaaray jo pani par usay Abbas(AS) kehte hein
Janat Ki Arzoo Main Kahan Ja Rhy Hain Log…. Janat To Karbala Main Khareedi HUSSAIN(a.s) Ny…. Duniya-o-Akhrat Main Jo Rehna Ho Chain Sy…. Jeena ALI(a.s) Sy Seekho Marna HUSSAIN(a.s) Sy..
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein