Aye Khuda...Sun...Zara... Haath Mere Uthey Jab Dua k liye... Lab Hiley,aankh se chand Qatrey Girey Ghaur se main ne Dekhi Hatheli wahan... Qatre Moti k jaisey chamakne lagey... *Khushboo* Ghulne lagi jab Meri Sans me Khul k Ehsaas mujh ko hua iss tarha.... Arsh Par Badalon se Parey Uss Jagah Poori Hone Lagi meri Har ek Dua Wo Dua jiss ko Boya tha Dil k Jahan Aabiyari thi ashkon ki Har pal wahan Soz hardam Tadap aah o zaari Rahi Wo Dua kesey na Rang laati meri? Ek Muddat ye gham mujh pe haawi Rahey Mere SAJDE tere Dar Sawali Rahey aour TU iss Qadar..iss Qadar Mahraban.. Hai Tere hi Karam ki ye sab Inteha Mere Hathon ko Girne se hi qabl yun Bhar Di Jholi meri Tu ne Rabb E Jahan... Hai ye tera Karam... moajza jo kiyaa.... ***WO JO MERA NAHI THA**** mera HOGAYA....
As''hab to Sabhi The Magar Waqt e Intiqal
Manga Tha Jab Nabi ne Qalam,Kyun Nahi Dya?
Bolay ye Intiqam Tha Khyber Ki Jang ka
Us Waqt Nabi ne Hamko Alam Kyun nahi dya ?
Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai
jo Ali [a.s] ka na hoa kab hamara hoga wo to buss katib.e.taqdeer ka mara hoga jannat mien janay se rokay ga bhala ko hamein jab payaray Muhammad [PBUH] ka ishara hoga matam-e-Hussain par aey fatway laganay walon hashar mien dekhna kya hashar tumhara hoga tazira AL-E-MUHAMAD [A.S] ka no jis mien WAQAS aesy mehfil mien kahan apna guzara hoga''''
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... Abbas Tere Hath Mai Bazi Hai Aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To Shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai Aj Tak
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
Ta ajub un pay hy bay wajha sir jo partey hain
Kisi say laina na daina fazool lartay hain
Khamosh baithey howey hain khamosh rehnay dain
Huk intezar me hyn apney aaqa k
log kyun phr kham khaa bigartey hain
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein