Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Karunga khul ke Tabbarra Ali Ke Dushman Par
Furoo e Deen ka Yehi Hisab Hai Kia Kea Jaye
Jo Rokta Hai Tabbaray Se Uske Ayy Mola
Laga Do Aisa Tamacha ke Phir Maza aaayee
Mumkin nahi hai kisi sy adaawat Hussain(A.S) ki.
Sansoon mein but rahi hai sakhawat Hussain(A.S) ki.
Bazar k Khajoom se keh do chup rahe.
Quran kar raha hai talawat Hussain(A.S) ki.
Khazanay ki jo zeenat ho usay ALMAAS kehtay hain
Tamana pani ki hoti hay toe PYAAS kehtay hain
Jahan peety jain sub pani usy kehtay hain sub darya
Jo darya ko pilata hoo usay ABBAS (A.S) kehtay hain!