HUSSAIN Ibn-e-ALI

HUSSAIN Ibn-e-ALI
HUSSAIN
Ibn-e-ALI
Waqt Ki Tehzeeb Ka Naz

Jis Ny Afsha''n Kia
Insaan Ki Toqeer Ka
Raaz

Jis Ka Har Zakhm Hy
Sarmaye-e-Taqdeer-e-
Hijaaz

Jis Ny Teero''n K
Musal''ley Py Ada Ki
Hy NAMAZ ...
  

Jun, 15 2010     203 chars (2 sms)     2364 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

WafA jIS kA Parha Kalma, Use Abbas Kehte Hein

Jo Hai Shabbir Ki Quwat, Ali Ko Naaz Hai Jispar

Jise Zahra Kahain Beta, Use Abbas Kehte Hain
Yazeed Mausam e Isyaan ka La-ilaaj Marz
Hussain Khaak ko Khak e Shifa Banata Hai

Yazeed Aaj bhi bantay hai log Koshish Say
Hussain Khud nahi banta Khuda Banata Hai


'Sari Ummat min sab say ziada baseerat wala vo shakhs hay jo Allah k deen min sab say ziada naseehat kare. (Imam Ali Raza A.S.)'
Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.
Tumhare hijr ko wo inteha na keh bethein
Kaheen janab ko wahdat saraa'' na keh bethein
Wajood rakhte huey bhi dikhaii dete nahi
Ae Mola bande tujhi ko Khuda na keh bethein
Gulzar e shujat ki dil awaiz kali hy
jano dil e hyder hy wali ibne wali hy
Shabbir muhammad hyn agar waqt k apney
Abbas e jari apney zamaney ka Ali hy
Dour zehnoon se teeragi ker lo
Zikar-e-HAIDER(a.s) se roshani ker lo
Ji rahay ho baghair hub-e-ALI(a.s)
es se behtar hai khud kushi ker lo
ALI ka ishq muqaddar sanwar deta hai
ALI ka bughz chehra bigaar deta hai
ALI ki zaat ko adnaa mat kaho nadaano
Ye ek yngli se khyber ukhaar deta hai.
Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
K horahey hain qayamat k kaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me
Jaltay Kyon Ho Ali a.s Kay Kamalaat Dekh Ker
iZZat Khuda Bhi Detaa Hay Auqaat Dekh Ker
Milti Jo Aesay WeSoon Ko Hilti Na ZulfiQaaar
TalWar Haq Nay Di Hay Magar Hath Dekh Ker
'Assalam-o-Alaikum' 4 PERSONS, 4 QUOTES

1. Jo log khud gharz hote hain wo kabhi ache dost nahi hote.
[Hazrat Abu-Bakar Sidique R.A]

2. Jo shakhs apne khaloos ki qasmain khaye uss per aitmaad na karo.
[Hazrat Umar R.A]

3. Muhabbat sab se karo magar aitbaar chand logon per.
[Hazrat Usman Ghani R.A]

4. Ache logon ki aik khubi ye bhi hoti hai k unhain yad rakhna nahi parta wo yad reh jate hain..