Seenay me jo abbas k kadmo ki dhamak hy
Heabat in dhamak ki sir e aarsh talak hy
Yeh keh k guzarta hy garajta huwa badal
Bijli mairey Abbas k lehjay ki karak hy
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main
Insaan ki Jabeen Pay Sitaray sajjadiyay.!!
Zakhmoon say Phool Dasht-e-Ballah main Khila Diyay..!
Nok-e-sina pay bool kay mairey Hussain(A.s) nay.!
Tareekh Ki Zaban pay tallay laga diyay..!
QAADIR KHUDA KI ZAAT HEY QUDRAT HUSAIN HAIN. SARI HAQIQATON KI HAQIQAT HUSSAIN hAIN. SAJDAY KO TOOL DEK NABIYE BATA GAEY. MERI IBADATON KI IBADAT HUSSAIN HAIN
Maqtal Mai Dono Hath Kataney Ke Bawjood...... Abbas Tere Hath Mai Bazi Hai Aaj Tak..... Tune Badal Ke Rakh Diyea Mana Hayat Ke...... Tu To Shaheed Hoke Bhi Ghazi Hai Aj Tak