Yun Hi Nahi Jahan Mai

Yun Hi Nahi Jahan Mai
Yun Hi Nahi Jahan Main
Charcha HUSSAIN Ka

Kuch Dekh K Hua Tha
Zamana HUSSAIN Ka

Sar De k Do Jahan Ki
Hukumat Khareed Li

Mehanga Para yazeed Ko
Sauda HUSSAIN Ka ...
  

Jun, 15 2010     177 chars (2 sms)     2654 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Jahan Ali Hain Wahan Roshni Ki baat Kero

Unhi Ke Ishq Me Ab Zindagi Ki Baat Kero

Farishto Kaisa Hisab Mehshar me ?

Ab aagaye ho to Baitho, Ali Ki baat kero
Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab
Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi

Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain
Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi
Dour zehnoon se teeragi ker lo
Zikar-e-HAIDER(a.s) se roshani ker lo
Ji rahay ho baghair hub-e-ALI(a.s)
es se behtar hai khud kushi ker lo
Phir Aaj ''''HAQ'''' K Liye Jaan Fida Kare Koi

Wafa Bhi ''''JHOOM''''Uthe Yun Wafa Kare Koi

Namaz ''''1400 Saalon'''' Se Intizar Main Hai

''''HUSSAIN'''' Ki Terha Mujh Ko Adaa Kare Koi . . .
jo bhi Darakht-e-Bughz-e-Ali mein ataak gaya
wo shakhs Rahe-e-Den-e-Khuda say bhatak gaya
Kausar ki simt Shaikh jee Lapkey to they mager
Saqi Ali hei deakh ker Chera Latak gaya
Beshak jo log bin dekhe apne rab se darte hain un k lye bakhshish aur bahut bara ajar e azeem hai .(surah mulk-12)
Zameen E Haq Pe Hasad Se Shigaaf Mat kijeay
Amal ko Hukum E Khuda k Khilaaf Mat Kijeay
ALi(a.s) Ka Bughz Mila Hai Agar wirasat me
Tu Kaba Ghar hai ALi(a.s) Ka Tawaaf Mat kijeay
Hussain teray lahoo ki khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindahi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me
Zeynab:

hay Zay say zennat e ajdad
yeh say yakta hy
to noon say yeh nabuwat ki mohsina tehri
jo bay ka raz ko khoolo to bay ali bolaa
thi baab e eelm ki beti to maulima tehri
misl e fatima zehra thi hubahoo zeynab
khayal e fatima deen ki hay aabaroo zeynab
Kareeb AHLEBAYT k Aao toh koi Baat bane
Imaan phir se Jaga''o toh koi baat bane

Lahoo jo Beh gaya Sahie-e-KARBALA ka
Unke MAQSAD ko samjho toh koi baat bane
aale nabi ka zikr tha jin wakiyaat main
who wakiyaat miltey nahin hai Deeniyat main
jin par fakeer bheek bhi mangtey nahn
woh naam shamil hogaye islamiyat main