Bayt Ya Sir Yehi Tha Taqaza Yazeed Ka
Mayus To Hussain ne Usko Bhi na Kya
Bayt Na Ki Hussain Ne , Sir De Dya Use
Is Sar se To Yazeed Bhi Khali Nahi Gaya
hay Zay say zennat e ajdad
yeh say yakta hy
to noon say yeh nabuwat ki mohsina tehri
jo bay ka raz ko khoolo to bay ali bolaa
thi baab e eelm ki beti to maulima tehri
misl e fatima zehra thi hubahoo zeynab
khayal e fatima deen ki hay aabaroo zeynab
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Farsh-e-aza jahan may bichatay rahenge hum,
paigham shah-e-din ka sunatay rahengay hum,
Pyasay Hussain(a.s) pyasiSakina(a.s) k naam per,
dushman b ho to pana pilatay rahenge hum..
Jo nathiq e Qura''an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai