Kehtay hain barey fakhr say hum ghum nhn kartey
Matam ki sada suntay hyn matam nhn kartay
Woh log bhaala samjheyn gay kya raaz e shahadat
Jo eid to kartay hain muharrum nhn kartey
Kyun aap ka dil jalta hy kyun jalta hy seenaa
Hum aap k seenay par to matam nhn kartey
Aajiz yehi mashoor haqiaqat hy jahan me
Qatil kabhi maqtool ka matam nhn kartaay
Khatam hai duniya ki tareekh-e-wafa Abbas(AS) par
Ibtida jis se bhi ho, haan inteha Abbas(AS) par
Saari duniya ko nuseri k Khuda par naaz hai
Naaz karta hai nuseri ka Khuda Abbas(AS) Par
Chaadar-e-Tatheer thora aur barh jaati agar
Ik siraa Zainab(SA) pe hota doosra Abbas(AS) Par
Manaoo jashan k kaabay me Ali arahey hain
Khudda k ghar say botoon ko bhaga rahey hain
Dewar e kabba nay haans k kaha khudda ki kasam
Mujhey Ali tawaaf k qabil bana rahey hain
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega
Tareekh me duniyaTareekh me duniya ki wahid yehi manzar hy
Hansta huwa bacha hy roota huwa lashkar hy
Kya jang karun me insay Abbas e Jarii boley
In shaam ki foojon pe bhari maira Asghar hy
Taqat-e-Matam-e-Shabbir say la ilm hay tu,,
Yai woh jadu hay jo aag per bhi chal jata hay,,
Jis dum kartay hain mawali aag per matam,,
Un ko kuch nahi hota aur tu jal jata hay..
Abbas(as) Tajdaar-e-Wafa Arjumand hain
Aisay Khuda pasand khudi ko pasand hain
Panjay Alam pay nasb hain Dunya yeh dekh lay
Ghazi k Haath kat k bhi kitnay buland hain.