Bheja nahi tha SHAIR

Bheja nahi tha SHAIR
Bheja nahi tha SHAIR ko jung ke khayal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke gire zulm ke parcham zamin par,
Tera alam jawan hain 1400 saal se.
  

Jun, 15 2010     166 chars (2 sms)     2477 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Hussain teray lahoo ki khusbo falak k daaman say arhi hay

ye khoon-e-nahaq hay khun chupay ga?

jissay ye dunia chupa rahi hay
Din Rota Hy Raat Roti
Hy

Har Momin Ki Zaat Roti
Hy

Jab Bhi Muharram Aata
Hy Khuda Ki Qasam

Gham-e-HUSSAIN Main
Saari Kainaat Roti Hy ...
Karunga khul ke Tabbarra Ali Ke Dushman Par
Furoo e Deen ka Yehi Hisab Hai Kia Kea Jaye
Jo Rokta Hai Tabbaray Se Uske Ayy Mola
Laga Do Aisa Tamacha ke Phir Maza aaayee
Unke Naam Khud Mursal Likh Gae Hain Kaaghaz Par
Baagh Sayyida Ka Hai, Aap Kon Hote hein ?

Me Ali Ke Dushman par LAnat''ain jo Karta hoo
Ye Mera Wazeefa Hai, Aap kon Hote hein ?
Na mit saka hay na mit sakay ga

sada HUSSAIN (a-s)
tera ye matam
Mangnay walon k dil ko ye yaqeen hai ABBAS(a.s).
" NA " karna tera dastoor nahi hai ABBAS(a.s).
Aa rahi hai Daro deewaar say Khushbo-e-Wafa.
Aisa lag raha hai is waqt yaheen hain ABBAS(a.s).

Na Maujza hai kerbala , Na Haddssa Hai Kerballa
Jo Khoon Say Likha Gaya woh Faislla Hai Kerballa

Her aik ''Jabbr'' kay Khilaf Khair Kay Muhaz per
Jo Mustakil Bappa Rahay woh Ma''rka Hai Kerballa

Sanan-o-Khanjjr-o-Kamaan , Mashq-o-Chadder-o-alum
Nishaniooon Ka Ajjab, silsalla hai Kerballa.
Zom e kasrat tha jinhain sab wo hijazi nikle

Wo 72 they jo kirdar k ghazi nikle

Is haqiqat ko bhala kon chupa sakta hy

Jitne Shabbir k qatil thy namazi nikle.
mere bachpan ke din bhi kia khub the......!

Iqbal


be namazi bhi tha aur br gunah bhi............!
Hai azme Khalili sinoan me, sholoan me phool khila denge
Hathoan me nihan hai zoore Ali, Khaiber ka saman dikhla denge
Abbas-e-dilawar ke waris, har ek ki pyas bhuja denge
Ye nasl wa mulk wa rango watan, ki sab diware gira denge

Is waqat fiza-e-alam me, bas ek Alam lehraega
sab thaat pada rehjayega, jab aane wala aayega
Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga

Maqsad-e-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga

Yaad Ker K Jo na Roya Karbala Walon Ki Pyaas

Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga
Khushi ki bazm main bhi ghum talaash kertay hain,
Dil-e-BATOOL s.a ka marhum talaash kertay hain,
Maza mila hay aazaa-e-HUSSAIN a.s se itna,
Hum eid main bhi muharram talaash kertay hain