Kaeb-o-Bala Naseeb

Kaeb-o-Bala Naseeb
Kaeb-o-Bala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Phir Laut K Wahan Se Na Aana Naseeb Ho

Aisa Dar-e-Hussain Pe Sajda Ho Aakhri

K Mujh Ko Apna Sir Na Uthana Naseeb Ho
  

Jun, 16 2010     162 chars (2 sms)     2774 views       Islamic

more Islamic SMS Messages

Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
So Baar Legaye, Sare Baazar Muflisi
Har Baar Mene Apna Aqeeda Bacha Lia
Mene Parhi Thi Apni Hifazat ke Waste
Naad e Ali ne Sara Ilaqa Bacha Lia
Wo jiska Mansab hi tha Imamat tu Lahja kitna Mateen hoga

Khuda ne Masoom jo banaya wo Ismaton ka Ameen hoga..

Luaab e Sarwar Lahu Ali ka .. BaTOOL ki goud .. Aur husn e Shabbar

yE saari cheezain mila kay socho Hussain kitna haseen hoga !???
Kia Jalwa Karbala Mein
Dikhaya HUSSAIN Ne
Sajde Mein Ja k Sar
Kataya HUSSAIN Ne
Naize Pe Sar Tha Aur
Zubaan Pr Aayatei?
QURAAN Is Terha
Sunaya HUSSAIN Ne
NANA k DEEN Pe Har
Cheez Waar Dii
Kuch Na Apne Paas
Bachaya HUSSAIN Ne
Kyun AAQA (S.A.W.W) Ko
Na Apne Nawasey Pe
Naaz Ho
Har QAUL
MUSTAFA (S.A.W.W) Ka
Nibhaya HUSSAIN Ne,.
Kisi ne kaha bachpan ek baar milta hai khoob khel kood karlo. Kahin se awaz aai jawani ek baar milti hy khoob enjoy karlo. Ksi ne kaha college life ek bar milti hy khoob masti karlo.
Lakin kabhi kisi ne yeh kaha k ZINDAGI B 1 BAR MILTI HAI apny ALLAH ko Razi karlo
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai
Hadis e Pak
Kisi Musalman ko jaiz nai k wo kisi
Musalman ko khofzada kary
(ABU DAUD V4 P391 H5004)
ap main se jo koi bhe pehli martaba Hajj ya Umrah par jayey to Khana Kaaba pr pehli nazar partey hee ye dua mangey," Ya Allah Muje Mustajab al Dua bana de Aameen,:kaaba ko pehli nazar main dekh kr jo bhee dua mangi jayey woh qabool hoti hai , so plz remember

para''ey des main bhi apni seekhoon dhoond letay hain
Ali waalay Ali waalon ki khushboo soongh letay hain
naajanay musalmaanon ko nazar kiyun nahin aatay
fazaail to meray Maula k hindu dhoond letay hain
Ta'ajjub Hai:

KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.

Or

KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me