DIL HAI K MUSALSAL YEH DUA MANG RAHA HAI
PHIR SAY SAFAR E KERB-O-BALA MANG RAHA HAI
SHABEER a.s K MAQTAL SAY ABHI TAK SAR-E-MOMIN
SAJDON K LIYAY KHAK-E-SHIFA MANG RAHA HAI
Ye Aitbaar Meri Zindagi Ka Haasil Hai
Ibaadaton Ke Safar Ki Hussain Manzil Hai
Namaz Main Bhi Tasavvur Hussain Ka Rakho
Ya Ye Kaho Ke Nabhi Ki Namaz Baatil Hai
Insan jab paida hota hai to azan di jati hain namaz nai parhi jati aur jb marta hai to namaz parhi jati hai azan nai di jati yani zindagi ka safar azan se namaz tak hai
Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.
Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.
Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.
Karo na fikr Zahoor-e-Imam hona hay.
Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) Said “Jo Shakhs Dastar Khawaan Say Khanay K Giray Huy Tukray Utha Kar Khaay Gah Woh Khabi Tanag Das Nahi Ho Gah Uss Ki Olad Or Olad Ki Olaad Kaam Aqqli Say Mehfooz Rehti Hai Referenxe Adab-E-Taam.
Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main