Kon karta hai wafaon

Kon karta hai wafaon
Kon karta hai wafaon k taqazay tjh se,
Ham to ek jhoti tasalli k talabgar hain bas.
  

Jan, 23 2011     83 chars (1 sms)     2486 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali

Pyar Ka Naam Jo Aata Hy Dar Lgta Hy

Zakham Kuch Aise Bhi Apno''n N Diye Hyn Mujh Ko ''Faraz''

Ab Koi Haath Milata Hy Tou Darr Lgta Hy
Ye Sach Tha Mujhy
Ishq Nahi Tha Lekin

Tujhy Paa Ker
Ehsas-e-Wafa Hota Hy

Itna Socha Hy Mene
Tujhy Shaam-o-Seher

K Khud Me Tere Hony
Ka Gumaan Hota Hy
Khamoshiyo ki wo dhimi si aawaj hai,
Tanhaiyo me wo ek gahra raaz hai.
Milte nhi h sabko sachha pyar yahan,
Aap jo mile to hume khud par naaz hai
Mizaaj-e-waqt ki kab tak haqaratein sehti,

ana shanas thi wo to kab ki mar gai
ho gi.
Jab Badlon Ki Gehrai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Jab Zindagi Ki Sachai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Gulshano Gulistan Mai Jab Mere Qadam Paray
Har Phool Ki Ranai Mai Dekha To Chehra Tera Tha

Apne Mile Bohat Aur Mil Kar Woh Phir Bichar Gaye
Apno Ki Is Wafa Mai Dekha To Chehra Tera

Khoone Jigar Se Ki Hai Ye Dastan Maine Raqam
Aur Aisi Roshnai Mai Dekha To Chehra Tera Tha
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Aey Kaash…
woh phool si muskurahat merey liye hoti
woh masoom shararat merey liye hoti

main us zulf ki chaaon main soo jaata
woh kaali raat merey liye hoti

raat bhar woh ghomaati apna kangan
woh bechayni woh betaabi merey liye hoti

woh ek taara tha khuley aasmaan main
aey kaash woh roshni merey liye hoti

merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta
jo woh munawar nazar merey liye hoti

rishtaa kuch to ban jaata apna bhi
mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti
ansoo palkon se choot jate hein,

jub sahare toot jate hein,,

kuch smajh mein nai ata,.

hum kehte b kuch nai!!

per log hum say rooth jate hein.
"Na kar byaan un se haal e dil WASI"


"magror sa shaks hai kahin sath na chor de"...
Kitne We Itmenaan Se Thukra Gaya Mujhe

Anso Bana k Ankh Se Tapka Gya Mujhe

Kaisi Rehbari Thi Yeh Kaisa Fareb Tha

Manzil Dekha K Raah se Bhatka Gya Mujhe

Khamosh Nighaon Se Kahani Suna Gaya

Lafzoon k Hair Phair Mai atka Gya Mujhe

Muj Ko Bhi Bachpany Ka ek Mazak Samjh Kar

Choti Se Ek hansi Mai He Ura Gya Mujhe

Do Din Mai Us k Dil Se mUhabat utar Gai

Aur Do hi Din Mai Yad se MIta Gya Mujhe
guzishta raat uss k hont par ..

jab yeh sawal ubhra ..

muhabbat rutjagay kion maangti hai ?

kion sataati hai ?

to main dheeray say muskaya ..

aur uss k pass say uth kar ..


phir apnay ghar chala aaya ..!!
Ghamon k Selaab Tu Pehle Bhi Bardasht kr Lete Thy ''ALI''

Par Ab Tu Ek Katray Se Bhi AankhAin Bheegh jati hAin