Sheir

Sheir
BARBAD KARNEY K AUR BHI RASTEY THEY FARAZ,
NA JANE UNHEN MOHABBAT KA HI KHAYAL Q AYA??
  

Oct, 17 2011     86 chars (1 sms)     3606 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zara theroo!

Kay tum say ik zaroori baat kehni hay.
Idhar Aa''ao!

Kay rastay main khara hona humain acha nahin lagta.
Yahan Aa''ao!

Kay batain too hameesh hum tasalli say hee kartay hain.

Humain is tarhan mat dekho!

Nahin too hum tumharay samnay kuch keh nah pa''ain gay

Haan too bus baat itni hay......

Chaloo choooro!

Kabhi mooqa mila too phir bata''ain gay.
Jo rishta kayam hai wo hum nibhege,

Nigaho se door rah kar bhi aapko chahege.

Pata nahi aap kiske sath ghar basayege,

Par hum aapka naam lete lete mar jayenge.
Apny Ghar Ka
Aik hi Rasta...
Dhoop K teelay
Rait Ka Daryaa,,,
Dewaaron per
Aas Ki Bailein
Sahen K ander
Hijr Ka Poda,,,
Har Kamray Mein
Uss Ki Yaadein...
Sab Chezon mein
Uss Ka Chehra
ye udasian , ye pareshanian mera muqadar hain

dekho tum yoon na pareshan hoa karoo ...........
Surkh gulab ke sare mausam ter naam

Har subha ka pehla hjala tere naam

Teri yaad ka Beehta darya mary liye

Behti jheel main pholl kANWAL ka tere naam

Jitnay Khawab Khuda ney mary naam likhay

Un khawabon ka lambha lambha tere naam

Teer bina jo umer beet gai

Ab es umer ka baqi hissa tere naam
Agar Mohabbat Py Bharosa Rahey Na Dunya Mein

Tou Koi Shakhs Mohabbat Ka Hosla Na Karey

Suna Hai Uss Ko Muhabbat Duaei''n Deti Hai

Jo Dil Py Chott Tou Khaye Magar Gila Na Karey
Pucha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye
Pani Mein Aks Chand Ka Dekha To Ro Diye


Nagma Kisi Ne Saaz Par Chera To Ro Diye
Gancha Kisi Ne Shakh Se Tora To Ro Diye


Urdta Hoa Gubar Sar Rah Dekh Kar
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye


Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gi
Saya Koi Kahyal Se Guzra To Ro Diye


Rang-e-Shafq Se Aag Shagofon Mein Lag Gi
Mubeen Sagar Hamare Hath Se Jahlka To Ro Diye
Chalo us Ka Nahi Khuda Ka Ehsaan Lete Hyn

Wo Minnat Se Nahi Mana Tou Mannat Maan Lete Hyn
Chalo Tum Sath Mat Daina..


Mujhy Beshak Bhula Daina..


Naye Sapnay Sja Laina..


Naye Rishtay Bana Laina..


Bhula Daina Sabhi Waday..


Sabhi Qasmain Sabhi Natay..


Tumhain Jana Ijazat Hy..


Jo dil Chahay Wo Sab Krna..


Magar Ab Tum Kisi Sy Bhi..


Anokha Pyar Mat Karna..
bechain main na jaane kya chahti hoon

bechain main na jaane kya chahti hoon
shaayad apne dil ki gahraayee paanaa chahti hoon
lekin sab ke liye anjaan main
aaj jaan payee hoon
ki main khud se bhi anjaan hoon
isiliye
apne dil ki kasak ko mitana chahti hoon
apni bechain saanson ko sametna chahti hoon
lekin kaise shaayad yahi janna chahti hoon
kya ajab shaks hai kuch bhed hi nahin khulte uske
jab bhi dekhoon usse duniya se khafa hi dekhoon
Uqba main bhi milay gi yehi zindagi *Shakeel*.
Marr kar bhi chuth na paayen gai is dard-e-sarr say hum...