Jab Tumhara Dil Gunah ke Kamon mein Lagna Shuro ho Jaye to Yeh is Baat ki Daleel hai ke Tumhara Rab Tum se Naraz hai…’ Hazrat Ali (Razi Allah ta-ala Anho)
Acha dost kitni dafa hi kyun na ruth jaye ussey mana lena chahiyeh kyun ke tasbeeh ke daney kitni dafa hi kyun na bikher jayein chun liye jatey hein Hazrat Ali (A.S)
Kisi bhi Bazm-e-Mahfil main jana Ali Ali kahna
Wajood apna batana to Ali Ali kahna
Farishte tum se karain jo sawal Turbat main
Koi jawab na denaa Ali Ali kahna
Dasht-e-Bala ko Arsh ka Zeena Bana diya
Jungle ko Mustafa ka Madina Bana Diya
Har Zarrey ko Najf key Nagina Bana Diya
Aye Husain Tum ney Marney ko Jeena Bana Diya
Jis ne Mun Mora Mushkil Kusha Se
Door Hogaya Phir WO Khuda se
Jis Ki Wabastagi Hi Nahi Hai
Ab Bhi Darwaaza e Sayyida Se
Dehr Me Darbadar, Zindagi Bhar
Thokerain Yuhin Khata Rahega
Jab bhi jo deta hai Laraib jali deta hai
Khud kabhi aur wasilay se kabhi deta hai
Mang leta hoon to lay aata hai khaliq se magar
Mujh ko dunya mein mera rizq Ali(as) deta hai