faraz

faraz
Ab to tanhai ka ye aalam h faraz..
Koi hans ke bi dekhe to muhabt ka guman hota hai
  

Jul, 16 2013     83 chars (1 sms)     2276 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Agaz-E-Nayee Saal Per
Chahoon Main Tum Sey Milna, Agaz-e-Naye Saal Per
Muhabat Ayoo Amar Kar Jayen, Agaz-e-Naye Saal Per

Hamsafar Hai Cuna, Hai Fakhar Kudh Pey Mujhee
Jewan Ko Wafa Dey Jayen, Agaz-e-Nayee Saal Per

Be Pana Ye Peyar Hai, Jazbat Hain, Oor Naye Umeeden
Hasil Un Sab Ko Kar Jayeen, Agaz-e-Naye Saal Per

Guzry Saal Jo Na Paeya, Afsoos Na Karna Us Ka Zara
Neek Duaeen Ye Raab Sey Kareen, Agaz-e-Naye Saal Per

Hai Ye Ilteja Mery Raab Sey Rakhy Khuda Shaad Hameen
Ayoo Mil Kar Dua Kareen, Agaz-e-Nayee Saal Per
isi chamn me hi hamara b ik zamana tha
yahin kahin koi sada sa aashiyana tha

nasib ab to nahi shaKh b nasheman ki
lada hua kbhi phulon se aashiyana tha

teri qasm are o jald ruthane vale
gurur-e-ishq na tha naz-e-aashiqana tha

tumhin guzr gaye daman bacha kr vrna yaha
vahi shabab vahi dil vahi zamana tha
guzar rahi ha kuch es tarah zindagi jasay........esay kisi ke sahaaray ki aarzoo nahi
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sakay,
Tere Yaad Mein Rat Bhar So Na Sakay,
Bheeg Na Jai Ansuon Mein Tasveer Teri,
Bass Yehi Soch Kar Hum Roo Na Sakay
Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...

Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai''

Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..

Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...
Kia Gham hai Kia Khushi Hai Malom Nahi
Wo Apna Hai k Ajnabi Malom Nahi
Jiske begair Ek Pal Nahi Guzerta
Kesy Guzry Gee Umer Malom Nahi
Apni yaden, apni batain lay ker jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Pal Pal Dhadkane Bekarar,


Na Khud Pe Eitbar Na Dil Pe Ikhtiyar.


Unhi Ko Bhulane Ki Koshish,


Karti Aankhen Unka Intezar;


Aur Kya Kya Dikhaega Pyar?
Ranj-o-alam..
Dard-o-gham…
Hasrat-o-yaas…
Mun ki piyaas……..
WahshataiN…..tanhaii.yaN
AansuoN ka bahr-e-bekaraN
Bekali-o-bebasi….
Dard-e-dil aur bekasi……
Kitni soghataiN dai gia…..
Mujh ko wo meraa faisla
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k jana yad aya
Akela Hun Magar
Abaad KarLeta Hun Veerane.
Bohat roye ge Mere baad Meri Shaam- E- Tanhaai..
Main khud ko DhoondtA RehtA Hoon Ab AndhAiry mAin''faraz''

Wo Ley Gaya Mera Saaya Bhi Saath Jaaty huye