kya is se bhi wada kar k chor gaya hai koi.
es ko kya es ko bhi neend nahi ati.
barson se kya usko bhi pholon se shkiwa hai.
koi usk sath bhi khail hawaon ne khila hai.
duhwan duhwan sa es ka chahra kauon hai akhar?
behgi behgi uski palken kis ne kar dain?
AAO BARISH SE YE POCHAIN......
tumhein jab kabhi millain fursatian meray dil se boojh uttar do
mein bohat dinoon se udaas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhey apnay rang mein rang do meray saray zang uttar do
Mohbbat mukadar hai 1 khwab nhi,
ye woh ada h ki sab jisme kamyab nhi.
jinhe panah mili unglio par ginlo unhe,
magar jinke katal hue unka koi hisaab nahi
gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
Mila hai sab kuch fariyaad kya karein,
Dil hai pareshaan to jazbaat kya karein,
Woh kehte hai ki hum unhe yaad nahi karte,
Bhule hi nahi jise ab usse yaad kya karein.