bechain main na jaane kya chahti hoon

bechain main na jaane kya chahti hoon
bechain main na jaane kya chahti hoon

bechain main na jaane kya chahti hoon
shaayad apne dil ki gahraayee paanaa chahti hoon
lekin sab ke liye anjaan main
aaj jaan payee hoon
ki main khud se bhi anjaan hoon
isiliye
apne dil ki kasak ko mitana chahti hoon
apni bechain saanson ko sametna chahti hoon
lekin kaise shaayad yahi janna chahti hoon
  

May, 27 2010     352 chars (3 sms)     4107 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...

Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...
Mohabbat Aazmani Ho Tou
Bas Ita Hi Kaafi Hy

Zara Sa Rooth Kr Dekho
Mananey Kon Aata Hy
Humse pucho kya hota hai pal pal bitana,
bahut mushkil hota hai dil ko samjhana.
ye zindagi to beet he jayege,
bus mushkil hota hai kuch palo ko bhulana..
Pyar se pyari koi majburi nahi hoti, Kami apno ki kabhi puri nahi hoti,Dilon ka juda hona ek alag baat hai, nazron se dur hona koi duri nahi hoti
mohsin us ki hansi main chupy dard ko mehsos tou kr
wo tou unhi hans hans k khud ko sza daita hai
mujhe hadson ne mita mita kar khoob haseen bana diya!

mera dil dulhan ka wo hath hai jo mehdiyon se racha hua!
bhool kar bhi na kandha dena mere janaze ko..

"aatish"

phir se zinda na ho jaon teri banho ka sahara dekh ka
duaa karo ki ye paudhaa sadaa haraa hii lage
udaasiyon se bhii cheharaa khilaa-khilaa hii lage

ye chaaNd taaron kaa aaNchal usii kaa hissaa hai
koii jo duusaraa oDhe to duusaraa hii lage

nahiin hai mere muqaddar men raushanii na sahii
ye khiDakii kholo zaraa subah kii havaa hii lage

ajiib shaKhs hai naaraaz hoke hansataa hai
main chaahataa huuN Khafaa ho to vo Khafaa hii lage
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay main magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Koun Si Cheez Dil Ke Bas Mein Nahi
Dil Magar Apni Dastaras Mein Nahi
Kab Se Aankhain Talaash Karti Hain
Ek Din Jo Kisi Baras Mein Nahi
Nata torne k bad us ne mange hai daye hue tohfe.

wo sub kuch le gaya sawye yaadon k...
yehi taarey tumhaari aankh ki chilman mein rehtey thay
yehi sooraj nikalta tha tumhaarey baam se pehley


yay saarey rang murda thay tumhari shakl banney tak
yay saarey lafz mohmal thay tumhaarey naam se pehley