Raat ki gheri khamoshi main

Raat ki gheri khamoshi main
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
  

May, 27 2010     381 chars (3 sms)     3945 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zamee''n walo''n se ye keh kr falak se dhal gya suraj,

Ujaly bant deny se ujaala kam nahi hota!¿!
Aap Ko Chaah Kar Kuch Na Chaaha Kabhi,


Meri Chaahat Ka Kuch To Silaa Dijiye,


Phool Murjhaa Gaye Aap Ki Chaah Mein,


Muskura Kar Unhein Phir Khilaa Dijiye.
Mizaaj-e-waqt ki kab tak haqaratein sehti,

ana shanas thi wo to kab ki mar gai
ho gi.
Kaanch ka tohfa na dena kabhi,

Ruth k log tod diya karte hai,

Jo bahut ache ho unse pyar na karna,

Aksar ache log hi dil tod
diya karte.......;->
udaas honton pe muskurahat k phool aain to jaan lena..,

k dil k andar ki kuch udasi,bohat udasi main dhal rahi hai..
Ajeeb tarah se nakam rahe hum dono,
SAQI,
Tu mujhe chah na saka
AUR,
main tujhe bhula na saka.....
BLOODY TEAR.
Beetay rishtay talaash kerti hay..

Khushboo ghunchay talaash kerti hay..

Jab guzarti hay is gali say sabaa..

Khat k purzay talaash kerti hay..

Apnay maazi ki justujoo may bahaar..

Peelay sapnay talaash kerti hay..

Aik umeed baar baar aa ker..

Apnay tukrray talaash kerti hay..!
~ YAAD ~

Shab k

Pichley Peher Tak

Main Leta Raha

Hichkiya''n

Aur Phir

So Gayi''n Tum ...
ek roz koi tou sochay ga,
ek shakhs tha pagal pagal sa.
pr baatain theek hi kehta tha,
baraish ki tarha pur-shor na tha.
dariya ki tarha chup rehta tha.
aur jin se pyar wo kerta tha,
judai bhi unhi ki sehta tha.
ek roz koi tou sochay ga,
kyun jetay-ji dargore kuwa.
kis ranj ne usko maar dia,
ek roz koi tou sochay ga,
or pehron baith ke roye ga.
WO Wafa Na ker Sake to Kia Hua
Kuch Dino Ka To Saath Nibhaya Tha
Tarapta Hua Chor Gya To Kya Gila Karain
Tarhpana B To Usi Nay Sikhaya Tha
Jaan se b zayada chahte hain apko,

har khushi se zayada mangte hain apko,

koi kahe k pyar ki hadh hoti hai,

To us hadh se b zayada chahte hain AAPko.
Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k $aharay to Janazay utha kartay hain.