Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Kitna Saroor Raat Ki Tanhayioun Mein Tha
Chup Tha Ke Jese Chaand Bhi Ruswaiyoun Mein Tha
Sab Ja Rahe The Apne khudaon ko Poojne
Tab mein Tere Khial Ki Gehraion Mein tha
Bana ajnabi mera Humsafar....
Aur nazar bacha k guzar geya.
Main tha raston se bekhabar....
Aur Usey manzilon ka shaoor tha.....
Na theen aur koi b Ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha.....
K Usey pasand theen shokhyan aur Mujhey sadgi pe ghuroor tha...
Mohbbat mukadar hai 1 khwab nhi,
ye woh ada h ki sab jisme kamyab nhi.
jinhe panah mili unglio par ginlo unhe,
magar jinke katal hue unka koi hisaab nahi