KItnI ajeeb baat haI k
wahI jo bachpan maIn
chIrIa k ghonslay say
gIrnay walay bachon ko daIkh ker
bay chaIn ho jatey haIn
aur pankhay say takra kar
mar janay walI chIrIa k sog maIn
kaI kaI ghantay udaas rehte haIn
wahI baray ho kar na janay
kyun aashyanay jala daItay haIn?
Usne kaha tum maIn pehlI c baat nhI.maIn nay kaha zIndagI maIn tera sath nhI.usne kaha ab bhI kIsI kI ankhon mIan doob jatay ho?maIn nay kaha ab kIsI maIn wo gehraI nhI.usne kaha kyun Itna toot k chaha muje?mene kaha Insan hon pathar to nhI.usne kaha kIa maIn bewafa hon?mene kaha muje wafa kI talash nhI.usne kaha bhol ja mujh ko..mene kaha tum haqIqat ho koI khawab nhI. :)
Yahan apnI apnI barI per sab hanste hIan..Sab rote haIn..dIl to sab ka hota haI,aur dukh bhI sab k hote haIn.kuch ashq dIlon per gIrtey haIn,kuch mattI maIn mIl jatay haIn.kuch lafz adaa ho jatay haIn ,kuch honton maIn sIl jatey haIn..Mana k adhooray rehtay haIn par khawab to sab k hotay haIn.
BarIshon k mosam maIn.waqt k andhaIron maIn,mene us say pocha tha.Chor to na jao gay?Hath thaam kar usne ye bola tha??kaIse chor sakta hon?Tum to jan ho apnI?aur aaj aIsa haI k waqt kI tamazat maIn..Vehshaton k mosam maIn..maIn nay uss say pocha .. chor k hI jana tha muskratI galIon maIn to aas kyun jagaI thI..?mere In sawalon par na wo chonka,na thehra..chaltay chaltay Itna hI kaha bus..Mosam k khaIl haIn.sab waqt ka tagayur haI.