Barish aur main,
dono ek jaisay hain, rote hain,
tadapte hain,
sisakte hain, machalte hain,
bond bond dard ka!
khamoshi se apni ragoon main utar lete hain,
aur phr muskura kar chupke se..
chup ki chaddar odh lete hain..
haan sahyad,
BaRISH aur MaIN dono ek hi jaisay hain!
Guzar gaye woh chaman se bahar ki tarah,
aankhon main bas gaye hai intezaar ki tarah,
kaise bhula de unhe hum apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya izhaar ki tarah...
sapne aakhir sapne hote hain,
unke poore honeki umeed mat karna....
koi aaye ya naaaye,
tumm apni aankhen nam na karna....
yeh zindagi tumhari apni hain,
ise kisike liye khudse juda mat karna....!
Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehta hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karta hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge