Pather tha mager barf k galoon ki tarah tha...
Ek shakhs andhairoon mein ujaaloon ki tarah tha...
khawaboon ki tarah tha na khiyaloon ki tarah tha....
Woh ilm-e-riazi k sawaloon ki tarah tha...
uljha huaaisa keh kabhi hal ho na paiya...
Suljha huaaisa keh misaloon ki tarah tha....
Woh mil to giya tha mager apna hi muqadder....
Shatranj ki uljhi hoi chaaloon ki tarah tha....
Sunane ko bheer hai sar-e-mahashar lagii hui,
Tohamat Tumhaare ishq ki ham par lagi hui,
Rindon k dam se aatish-e-mai k bagair bhi
Hai Maikade main aag Baraabar lagi hui,
Jiite the yun to Pehale bhi ham jaan pe khel kr,
Baazi hai ab ye Jaan se Barh kr Lagii hui,
Laao to Qatl_Naamaa mera, main bhi dekh lun,
Kis Kis ki muhar hai Sar-e-mahazar lagi hui,
aaKhir ko aaj apane lahuu par hui tamaam,
Bazi Miyaan-e-Qaatil-o-Khanjar lagi hui