Wo jo milta hai sub bhula daita hai
Janay kis baat pay dil usko dua daita hai
Wo mujhay pyar say rootay main hasanay wala Yaad aata hai to hastay main rula daita hai
Kahin milay tu usay yeh kehna Main saray arman jala chukka hoon
Jo sholey bharkey thay khawahishon k
Wo ansoyon se bhuja chukka hoon
Kahin milay tu usay ye kehna K chaak-e-daman ko si raha hoon
Bari hi mushkil se g raha hoon
Dia jo nafrat ka zehar tu ne
Samaj k amrat
Main p raha hoon
Kahin miley to usay yeh kehna Wo jazbay meray
Kuchal gaya hai
Jafa k sanchay mein dhal gaya hai
Na badlay mosam b itni jaldi
Wo jitni jaldi badal gaya hai
Tera dard tha, teri yaad thi,
Main jahan raha, main jidher gaya,
Mera din tu yunhi guzar gaya,
Junhi sham hoi main bikhar gaya,
Is abar ka mere yaar say
bara milta julta mizaj hai,
Kabhi tot k baras gaya,
Kabhi berukhi say guzar gaya,
Jab main chhor donga wo gali,
Usay yaad aay gi tub meri,
Dhondhay ga wo gali gali,
Usay milay gi khaber K main mar gaya,
abi tang hai wo meray naam say,
Mere baad wo aye ga, dosto.
Tumhe ko rook k pochay ga wo,
Wo kahan pe ha?
Wo kidher gaya?
Usay milay gi khaber k mai mar gya.....
ay dost
Meray ikhtiyaar mein hotaagar
Tu mein chand ka noor sara saba ki sari thandak
Phulon Ki khusho sari titliyon k saray rung
“TERaY NaM KaR DETa”
apni mohabat ki sari
pakieezgi apni duaaon k saray
rukh apni khushyon k
saray lamhay apni kismat
k saray sukh
TERaY DIL MEIN BHaR DETa
abhi who dard baqi hai
agarchay waqt marham hai
Magaar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay mein
Dobara dil basanay mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi who dard baqi hai
Main kis tarha nai ulfat mein
apni zaat gum kar doon
K meray jism-o-wajdan mein
abhi who fard baqi hai
abhi uss shakhs ki mujh par
Nigaah-e-sard baqi hai
abhi who ishq k raston ki
Mujh par gard baqi hai
abhi who dard baqi hai
aanson ko bohat smjhaya tanhai mein aya karo
mehfil mein hamara mazak na baynaya karo
espar anso tarap kar bolay
itnay logo mein ap ko tanha patay hain
isliye chale atay hain
ab kiya likhein hum kagaz par
ab likhne ko kya baqi hai
Ek dil tha so wo toot gaya ab lutne ko kya baqi hai
Ek shaks ko hum ne chaha tha Ek rait pe naqsh banaya tha In rait k zaron ko hum ne
Phir apne dil mein sajaya tha Or rait to kab ki bikhar gae
Who naqsh kahan ab baqi hai
ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai
Hum jin ko apni nazmo ka unwan banaya karte thay
lafzon ka baan kar taj mahal kagaz par sajaya kartay they
Wo hum ko akela chor giya Sab rishton se mouh mor giya ab rishtay sare sonay hain
Who pyar kahan ab baqi hai
ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai