Dil ki b
asti mein karbala barpa
L
ashay yadon k khaak mein ghiltan
Kheima-e-Fiqr zad pe shoalon ki
Harf sajda kunan hain honton per
Har taraf al-at
ash ki awazein
Maan nezon pay hain tarazu huey
Dharkno k galu pay khanjar hai
Khab k sar say chin chuki hai rida
Bain uthtay hain dil ki nagri say
Pyar ki alqama pay pehray hain
Zeest ko daan abla pai
D
ast-e-Qatil mein zulf subha ki
ashk arzan huey hain palkon pay
Phir Muharram kaa chand nikla hai..