Bari KOSHISH k bad usy bhula dia,

Bari KOSHISH k bad usy bhula dia,
Bari KOSHISH k bad usy bhula dia,
uski YADON ko sene se mita diya,
1 din phr uska PAIGHAM aya,
likha tha MUJE BHOL JAO
or muje bhula hua hr LAMHA yad dila dea.
  

May, 28 2010     163 chars (2 sms)     2039 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Zamanain bher ki nigahoon main jo khuda sa lagay
wo ajnabi hai mager muj ko aashna sa lagay

najanain kab mairi duniya main muskuray ga
wo aik shakhs k khaboon main bhi khafa sa lagay

ajeeb cheez hai yaro yeh manzaloon ki hawas
k rahzen bhi musafer ko rehnama sa lagay

dilay tabah! tera mashwara hai kiya k mujhay
woh phool rang sitara bhi bewafa sa lagay

hoi hai jis say manawer her aik aankh ki jheel
woh chand aaj bhi mohsin ko kamnama sa lagay
Us ki ankhon me koi dukh bsa hai shayed
Ya muje khud he veham sa hua hai shayed
Me ne pocha k bhol gaye ho tum b?
Ponch kar ankhain muje us ne kaha!
teri talaash mein mera wajod hi na raha"MOHSIN"

tabah ker gai meri hasti ko arzu teri..
Her Shaks Zindgi Main Bohat Dair Se Mila






Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili
Tere Awaz Se Awaz Mila Li Jaye

Shayed Is Tarha Mere Aah Na Khali Jaye

Mausam e Gul Hai , Andhera Hai , Akaila Pan Ha

Apnay Maazi Se Koi Yaad Nikaali Jaaye

Uski Jaanib Se Likhain Khud Ko Muhabat nama

Us Se Milti Hui Tehreer Bana Li Jaaye


Din To Hi jaaye Ga Waqfay yGhamay Dunya Riffat

Uski Yaadon k Liye Raat Bacha lee Jaye
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Yeh saal bhi udaas raha roothh ker gaya
Tum sey miley baghair december guzar gaya


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Wo jo Dawedaar hY Shaher main,

k sabhee ka Nabz shanaas Hon,


kabhee Aa k mujh saY To poochta


k


main kis k Gham main UDAAS Hon.
Itni nafrat na kr k waja-e-m0habat bn jaye

habss barh jaye To Aksar Barsaat huwa karti hy
Khul k dilse milo to saza dete hain log,
Sache jazbat b thukra dete hai log,
dekh nahi sakta do insano ka milna,
baithe huwe do parindo ko b uda dete hai log.
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.
Apni Dharkano se Kch aisey mera Naam Lo
Ye Waqt ruk jae Is Lamhay ko Tham lo
Teri Ankhon me Jhalak hai aesi meray Pyar ki
Saahil pe Dhalti jese Haseen Sham ho
tumhare dil ki tum he jaano
kaash hum apne dil ki kah paate
sada hamare dil mei rahna
kaash hum tumse yeh kah paate
dastak dete dil per tumhare
es sey pehle chal doge
jab tak pahunchi ye khabar humhe
tum duir desh mei jaa baithe
Jo khabar humhe yeh pahle hoti
hum raah rok kar kah dete
pehna kar apni khushiyon ka haar
tumhe vida hum kar dete
khalti hai bas ek baat yahi
gar kahni na thee apne dil ki
ruk jaate ghari do ghari
aur hamrae dil ki sun lete
bin baadal barsat kei yuin
barsati hain yeh aankhe jab
uthti hai ek hook si dil mei
Kaash tum yeh samajh paate