na lub se aah na dil se sada niklti hai
magr yeh baat bari dur tuk ja niklti hai
wo zindgi ho k duniya faraz kya kijye
jis se ishk karo bewafa niklti hai
Yai dua Hai mery abh na ho dedaar tera
abh na tery tarap na ho intezar tera
hun tu mein wohee aur wohee piyar mera
par ay jaan-e-man abh nahin etibaar tera
kiyon aagaeen duriyan humaray darmiyan
mein ay humnasheen kiya hai, qasoor mera?
Na Milta Gham to barbadi k afsanay kahan jaty
Agar dunya chaman hoti to veeranay kahan jaty
Chalo acha huwa Apno main koi ghair to nikla
Sabhi hoty agar Apny to begany kahan jaty
Tumhi ne gham ki DoLat di bara ehsan farmaya
Warna HuM zamany bhar k aagay hath phelany kahan jaty... ;->
ye bhi aadaab-e-muhabbat hain tumhein kiya maaloom
hum tumhein jeet ke haaray hain tumhein kiya maaloom
aik tum ho kay samajhtay he nahi hum ko kabhii
aik hum hain ke tumharay hain tumhein kiya maaloom...