ub k na kerna uska zikar

ub k na kerna uska zikar
ub k na kerna uska zikar meri wafa ki mahfil main.

agar wo aye tu use kahna meri mahfil se door ja k roye.
  

May, 28 2010     110 chars (1 sms)     2280 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?
"ARZOO"

ik arzoo hy qubool parwardigar kry.

mai dair se jaon wo mera intizar kry,

apny hathon se sanware zulf meri,

wo itra kr mohobt ka iqrar kry,

lipat jaye mujse aalm-e-madhoshi main,

aur josho janoon mai mohabat ka izhar kry,

ho shab wisal ki aise ya rab,

k choom k matha mujhe bedaar kry,

jb usy chor k chahon me jana,

vo roke ik aur rat ka israr kry,

qasam ''KHUDA" ki main kisi or ka ho nhe sakta,

ye wada-e-wafa vo bar bar kry...
Ek Khwaish Sarhaney
Rakh Do Na

Aaj Mujh Pe Inayat
Ker Do Na

Zara Chupkey Se
Khamoshi Se

Tum Izhar-e-Mohabbat
Ker Do Na

Khud Ko Ker k
Deewana Sa

Mera Pyaar Amar
Tum Ker Do Na

Main Pyaas Mein Duuba
Sehra Hoon

Tum Mujh Ko Samandar
Ker Do Na

Main Yun Hi Phirta
Hoon Dar-ba-Dar

Tum Khud Ko Manzil
Ker Do Na ..
Agar zindagi mein judai na hoti,
To kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Saath hi gujarte har lamhe to shayad,
Rishton mein ye gehrayi aayi na hoti...
Jab Bhi "Dil" Na
Umeed Hota Hy

Teri Janib Mazeed
Hota Hy

Pyar Izhaar Ka Hii
Naam Nahi

Pyaar Chup Reh k Bhi
Shadeed Hy ...
Bas Ek Tum Hi Nahi Thay

Meri Takmeel Mein Shamil

Mere Apne

Ajnabi

Sab Hi Shamil Thay

Phir Aisa Kyun Hua .. ?

Ek Bas Tumhary Jane Se

Meri Zaat Mein
Ashuura-pan

Baanjh Rutto''n Ki Terha

Theher Gaya Hy ... !!
Kitne paas hai kitne door hai hum,
Khuda hi jaanta hai kitne majboor hai hum,
Saza ye hai ke mil nahi sakte,
Gunaah ye hai ke be-kasoor hai hum.
Main To nA ThA us Ka TalabGaar''FARAZ''

Kashish he us mAin Kuch Aysi Thi k zid Bn Gaya Wo meri.
Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
Khath tho unhe likha jaatha hai jo kisi manzil par ho
hum aapko khath kaise likhe aab jo humare dil me ho "
kis ko qaatil main kahunn kis ko masiihaa samajhoon
sab yahaan dost hii baithe hain kise kyaa samajhoon

vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqeen hotaa thaa
ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhoon

dil jo tootaa to kaii haath duaa ko uthe
aise maahaul main ab kis ko paraayaa samajhoon

zulm yeh hai kay hai yaqtaa terii begaanaaravii
lutf ye hai kay main ab tak tujhe apanaa samajhoon..
Tairay khayaloo say fursut nahe milte.

Aik pul k liye hamain raahut nahe milti.

Yon to sub kuch hamary pas hay.

bus daikhnay ko aap ki "surut" nahe miltee.
hichki qareeb hai jo mujhe mout se miaaye.

hun jis ka muntazir use aa jaana chaahiye