main tu us loote howe

main tu us loote howe
main tu us loote howe qafle ka wo hisa hun amir

jis main mujh se tujhe chahne ka andaz loot leya gaya.
  

May, 29 2010     105 chars (1 sms)     2092 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
sazde dil me tarane bahut hai,

zindgi jeene ke bahane bahut hai,

aap yunhi sada mushkurate raho,

kyun ki aap ki mushkurahat ke deewane bahut hai,...
royengi yeh aankhein muskurane k bad
ayegi raat din dhal jane k bad
tum kabhi na roothna muj se ae
Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray

Zindagi K Rango Mein
Ik Ajab C Shokhi Hai

Dil Mein Ik Sakoon Sa Hai
Aur Aankh Mein Nami C Hai

Soch K Khizaon Mein
Raaj Hai Tarano Ka

Meri Har Subh-E-Naw
Moziyan Hai Ujalon Say

Roshan Hai Tareeki Bhi
Chandni K Haalon Say

Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray

Meray Jazbon Ki Yeh Gehraiyan
Sab Teray Hi Dam Say Hain

Jharno K Tarano Mein
Panchi Ki Urrano Mein

Jo Bhi Sehar Pan Hai
Teray Ehsas Ka Jadoo Hai

Tum Ko Tau Maloom Hi Hoga
Aisa Kis Waja Say Hai

Meri Subha Kyun Roshan Hai
Meri Raat Kyun Mozaiyan Hai

Tum Jo Sath Ho Meray
Tum Jo Pass Ho Meray
Bahaar Kay Chalay Janay Say Khazaan Kay Aa Janay Say
Zindagi Badal Si Jati Hai Kisi Kay Pyar Nibahnay Say
Pyaar Kay Din Anay Say Pyaar Kay Din Janay Say
Hum To Mnatain Hain Tumay Tumharay Rooth Janay Say
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
Batao kesa lagta hai?

kisi viran rasty py,

kisi anjan rasty py,

kisi ka sath mil jana,

khushi k phool khil jana,

btao kesa lagta hai!

Aur us k baad! phir ek din,

kisi ka u bichar jana,

sbhi rangon ka mit jana,

wo bandh muthi me hathon kee,

faqt kuch rait reh jana...

btao kesa lagta ha.!!
Kabi thak k so gaye hum,
Kabi raat bhar na soye,
Kabi hans k ghum chupaya,
Kabi munh chupa k roye,
Meri Dastan-e-Hasrat wo suna suna k roye,
Mere Azmany waley mjhey Aazma k roye,
Shab-e-gham ki aap beeti jo sunayi Anjuman main,
Kai sun k Muskraye,
Kai Muskura k roye,
Main hun Be-Watan Musafir,
Mera naam Be-Kasi hai,
Mera koi bhi nahi hai jo Galey laga k roye,
Mere paas se Guzar ker mera Haal tak na pucha,
Main ye kese maan jaun k wo door ja k roye?
Jin pathron ko ham ne ata ki thee dhrkne,


Unko zuban mili to hamee pe baras parey....
mut cheen hum se jeene ki wajha.

tujhe tu apni wafa par bara naaz tha.
Daldal Thi Zindagi So Dhansta Chala Gaya,

Main Apni Bebasi Pe Yun Hansta Chala Gaya,

Pehle Dikha Raha Tha Mujhe Manzilon K Khwaab,

Phir Mere Samnay Se Woh Rasta Badal Gaya,

Main Ro Para Tha Jis Ki Judai Ko Soch Kar,

Woh Shaks Mere Haal Pe Hansta Chala Gaya,

Main Khud Lipat Gaya Tha Jisay Dost Jaan Kar,,

Woh Saanp Ki Tarha Mujhay Dasta Chala Gaya,!
kaha us ne ke shaakhon se,

judaa phoolon ko karne kii

hawaaon ki jo saazish hai ,

use achchi nahi lagti

faqat ik pal ko jii chaaha

use itna to keh doon aaj

mohabbat

phool ki in pattiyon se barrh ke

naazuk thi

jise qadmon tale is ne

kabhi ka rond daala hai