Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha

Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha
Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha
Behki behki si baaten karta tha
Aankhen kanon pe rakh ke suntan tha
Goongi khamosheyon ki aawazen…..!
Jama karta tha Chand ke saye
Or Geeli se noor ki boonden
Rookhay Rookhay se Raat ke Patay
Ook mein bhar ke kherh kherata tha
Waqat ke us ghaneray Jangal mein,
Kachay pakey se Lamhay Chunta tha
Haan, Wahi, Ajeeb sa Shaier
Chand ki Thori Choma karta tha
Chand se gir ke mar geya ha wo
Log kehtay hain Khud Kushi ki ha….!
  

May, 29 2010     469 chars (3 sms)     2015 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

maine khuda se pucha
keemat kya hai pyaar ki
khuda bola
AANSU BHARI AANKHEIN AUR UMAR INTEZAAR KI..!!!
Meri chahat ne usey khushi dedi,
badle me unse mujhe sirf khamoshi dedi,
khuda se dua mangi thi marne ki,
lekin usne bhi tadapne ke liye zindagi dedi!!
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
Qurbat K Saaye Main Hy
Mohabbat Chupi Hui

Tu Kitna Dil K Paas Hy
Ye Duur Ja k Dekh ... !!
Yaadon main Teri yaad Thi,

Kya yaad Tha Kuch yaad nahi,

Teri yaad main Sab Bhul Gaya,

Kiya Bhol gaya Kuch Yad nahi,

Bas yaad ho tum ,
Sirf yaad ho tum,

Kyun yaad Ho Tum,
Kuch yaad Nahi......!!
use maloom hai tu meri kum goi ki wajha.

mohsin

per use barsat main bahgna acha lagta tha.
ye dsrd key tukry hen,ashaar nahi saghar.

ham kaanch k dhagy me zakhmon ko paroty hen.
Kuch tu meray dard ka mafhoom samajh
Yeh haansta huwa chehra tu auron k liye h
Paas Hote Lab Choom k Jagate Tum Ko

Rakh K Dil Pe Haath Dharkanai''n Sunate Tum Ko

Aur Jo Tum Sukoon Ki Aarzu Kerte

Rakhte Sar Seene Pe Aur Sulate Tum Ko ...
Ankho me armaan diya karte hai hum
Sabki neend chura liya karte hai hum
Ab se jab jab aapki palke japhkengi
Samajh lena tab tab aapko yaad kiya karte hai
Humsafar ne ki bewafai humse
To ashiyan bhi amnoon ho gayi
Ab apne khayalon ke safar me dil tute
To hume gumnaami ke raste mil gayi
Aj un aafsanon ki arzoo me dharkane gum ho gayi
To yeh badnaseeb asra un sarkonme kahin kho si gayi
Aj un badnaam gali me kahin kho gaye humari alfaaz
Yeh badnaami ke ajeeb ittefaq hain unki humse aitraaz
Yeh badnaseeb zarhanawazi kare us chehre ki armaan
Sau chehreke ek chehrese juri hay humari dastaan
Us chirag ki kasam aj ruswayi liye mohabbat ke saaz
Wah kismat! itmaam humsafar ke bewafai huye raaz
Ja aj batade us bewafase ki humne jala diye woh paygaam
Kasam us bewafai ki, manzoor hay hume jhute ilzaam.
Saqiya ek nazar jaam se pehlay pehlay,
Hum ko jana hai kahin shaam se pehlay pehlay.

Khush ho ay dil, k mohabbat to nibha di tun ne,
Log ujar jatay hain anjaam se pehlay pehlay.

Ab Us k zikr pe hum baat badal detay hain,
Kitni rughbat thi Us k naam se pehlay pehlay.

Samnay umar pari hai shab-e-tanhaai ki,
Wo mjhay chor gaya shaam se pehlay pehlay.

Kitna acha tha k hum b jiya karte the,
Ghair-maroof se, gumnaam se pehlay pehlay.